Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aur Un Ka Gharaana Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saath Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hoga

Fasl : 36

أول من يدخل الجنة مع النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم فاطمة سلام الله عليها و زواجها و البناها

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aur Un Ka Gharaana Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Saath Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hoga

 

93_             “Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Bataaya : (Mere Saath) Sab Se Pehle Jannat Me Daakhil Hone Waalo’n Me, Mein, Fatimah, Hasan Aur Husayn Honge. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Hum Se Mahabbat Kar Ne Waale Kaha’n Honge? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Tumhare Peechhe Honge.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/164, Raqam-4723,

2_Ibn Asakir Fi Tarikh Dimishq Al-Kabir, 14/173,

3_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/98, Raqam-34166,

4_Haytami Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah (02/448)’ Me Kaha Hai Ki Ise Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai.

5_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/214,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/105, Raqam-93.]

 

 

94_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jannat Me Sab Se Pehle Daakhil Hone Waali Hasti Fatimah Hogi.”

[1_Dhahabi Ne ‘Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal (04/351)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Salih Mu’addhin Ne ‘Manaqibi Fatimah’ Me Riwaayat Kiya Hai.

2_Asqalani Ne Bhi ‘Lisan-ul-Mizan  (04/16)’ Me Aisa Kaha Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/105, 106, Raqam-94.]

 

 

95_             “Hazrat Aboo Yazid Madani Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jannat Me Daakhil Hone Waalo’n Me Sab Se Pehle Meri Beti Fatimah Hogi, Aur (Meri) Is Ummat Me Woh Aisi Hain Jaise Bani Isra’il Me Maryam.”

[1_Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 01/457,

2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/110, Raqam-34234,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/106, Raqam-95.]