Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Allah Ta’ala Ne Fatimah Aur Aale Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهِمْ Par Jahannam Kee Aag Haraam Kar Dee

Fasl : 05

حرم الله فاطمة سلام الله عليها و ذريتها على النار

Allah Ta’ala Ne Fatimah Aur Aale Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهِمْ Par Jahannam Kee Aag Haraam Kar Dee

 

13_             “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Allah Ta’ala Tumhein Aur Tumhari Aulaad Ko Aag Ka Azaab Nahin Dega.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/210, Raqam-11685,

2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/202)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Thiqah Hain.

3_Sakhawi Fi ‘Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf, /117,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/29, Raqam-13.]

 

 

14_             “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Ne Apni Ismat Wa Paak Daamani Kee Aisi Hifaazat Kee Hai Ki Allah Ta’ala Ne Use Aur Us Kee Aulaad Ko Aag Se Mahfooz Farma Diya Hai.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/407, Raqam-1018,

2_Bazzar Fi Al-Musnad, 05/223, Raqam-1829,

3_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/165, Raqam-4726,

4_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/188,

5_Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf, 01/115, 116,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/29, 30, Raqam-14.]

 

 

15_             “Hazrat Jabir Bin Abdullah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Meri Beti Ka Naam Fatimah Is Liye Rakkha Gaya Hai Ki Allah Ta’ala Ne Use Aur Us Se Mahabbat Rakhne Waalo’n Ko Dozakh Se Alag Thalag Kar Diya Hai.”

[1_Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/346, Raqam-1385,

2_Hindi Ne ‘Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al (12/109, Raqam-34227)’ Me Kaha Hai Ki Ise Daylami Ne Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kiya Hai.

3_Sakhawi Ne ‘Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf (Saf’h : 96)’ Me Kaha Hai Ki Ise Daylami Ne Hazrat Aboo Hurayrah Se Riwaayat Kiya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/30, Raqam-15.]