Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Nishist Ke Liye Apni Kamli Mubaarak Bichha Dete

Fasl : 10

بسط النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم شملته لفاطمة الزهراء سلام الله عليها

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Nishist Ke Liye Apni Kamli Mubaarak Bichha Dete

 

26_             “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Woh Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Bargah Me Haazir Huwe. Dar Haala’n Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Chaadar Bichhaa’i Huwi Thi. Pas Us Par Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم,Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Hazrat Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم Baith Gaye Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Us Chaadar Ke Kinaare Pakde Aur Un Par Daal Kar Us Me Gireh Laga Dee. Phir Farmaya : Aye Allah! Too Bhi In Se Raazi Ho Jaa, Jis Tarah Mein In Se Raazi Hoo’n.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/348, Raqam-5514,

2_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/169)’ Kaha Hai Ki Ise Tabarani ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Sahih Hain, Siwaa’e Ubayd Bin Tufayl Ke Aur Woh Thiqah Hai, Us Kee Kunyat Aboo Siydan Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/43, Raqam-26.]