Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Roze Qiyaamat Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Sawaari Par Baithengi

Fasl : 34

تحمل فاطمة سلام الله عليها على ناقة النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم يوم القيامة

Roze Qiyaamat Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Sawaari Par Baithengi

 

89_             “Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Qiyamat Ke Din Mujhe Buraaq Par Aur Fatimah Ko Meri Sawaari Azbaa’ Par Bithaaya Jaa’ega.”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 10/353,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/102, Raqam-89.]

 

 

90_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Ambiya-E-Kiram Qiyamat Ke Din Apni Apni Sawaari Ke Jaanwaro’n Par Sawaar Ho Kar Apni Qaum Me Se Imaan Waalo’n Ke Saath Maidaane Mahshar Me Tashrif Laaeinge, Aur Salih (عَلَيْهِ السَّلَام) Apni Oontni Par Laa’e Jaaeinge Aur Mujhe (Makhsoos Sawaari) Buraaq Par Laaya Jaa’ega, Jis Ka Qadam Us Kee Muntaha-E-Nigaah Par Padega Aur Mere Aage Fatimah Hogi.”

[Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn (03/166, Raqam-4727)’ Me Kaha Hai Ki Yeh Hadith Imam Muslim Kee Shara’it Ke Mutabiq Sahih Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/102, 103, Raqam-90.]

 

 

91_             “Hazrat Buraydah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwaayat Karte Hain Ki Hazrat Mu’adh Bin Jabal رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Arz Kiya : Ya Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Kya Aap Roze Qiyaamt Apni Oontni Azbaa’ Par Sawaari Ho Kar Guzrenge? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Us Buraaq Par Sawaar Howunga Jo Nabiyo’n Me Khusoosi Taur Par Sirf Mujhe Ata Hoga, (Magar) Meri Beti Fatimah Meri Sawaari Azbaa’ Par Hogi.”

[1_Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 10/352, 353,

2_Hindi Ne Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al (11/499, Raqam-32340)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Nu’aym Aur Ibn Asakir Ne Riwaayat Kiya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/103, Raqam-91.]