Fasl : 25
دعاء النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم لفاطمة سلام الله عليها و ذريتها
Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aur Aap Kee Nasle Mubaarak Ke Haque Me Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Du’a-E-Barkat
67_ “Hazrat Anas Bin Maalik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Liye Khusoosi Du’aa Farmaa’i : Baari Ta’ala! Mein (Apni) Is (Beti) Aur Is Kee Aulaad Ko Shaytaan Mardood Se Teri Panaah Me Deta Hoo’n.”
–
[1_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/394, 395, Raqam-6944,
2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/409, Raqam-1021,
3_Ahmad Bin Hanbal Ne ‘Fada’il-us-Sahabah (02/762, Raqam-1342)’ Me Yeh Hadith Hazrat Asma’ Bint Umays رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Riwaayat Kee Hai.
4_Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 549, 551, Raqam-2225,
5_Ibn Jawzi Ne ‘Tadhkirat-ul-Khawass (Saf’h-277)’ Me Mukhtasaran Riwaayat Kiya Hai.
6_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/67,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/81, Raqam-67.]
68_ “Hazrat Buraydah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hazrat Ali Aur Sayyadah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Kee Shaadi Kee Raat Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Farmaya : Mujhe Mile Baghair Koi Amal Na Karna. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Paani Mangwaaya, Us Se Wuzoo Kiya, Phir Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Par Paani Daal Kar Farmaaya : Aye Allah! In Dono’n Ke Haque Me Barkat Aur In Dono’n Par Barkat Naazil Farma, In Dono’n Ke Liye In Kee Aulaad Me Barkat Ata’ Farma.”
Hazrat Buraydah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Hee Marwi Aik Doosri Riwaayat Ke Alfaaz Yeh Hain : “In Dono’n Ke Liye In Kee Nasl Me Bhi Barkat Muqaddar Farma De.”
–
[1_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 06/76, Raqam-10088,
2_Nasa’i Fi ‘Amal-ul-Yawmi Wa’l-Laylah, /253, Raqam-258,
3_Rooyani Fi Al-Musnad, 01/77, Raqam-35,
4_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/20, Raqam-1153,
5_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/217,
6_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 08/21,
7_ Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/209)’ Me Kaha Hai Ki Ise Bazzar Aur Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur In Ke Rijaal Abd-ul-Karim Bin Salit Ke Rijaal Hain, Jinhein Ibn Hibban Ne Thiqah Qaraar Diya Hai.
8_Asqalani Ne ‘Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah (08/56)’ Me Kaha Hai Ki Use Doolabi Ne Sanade Jayyid Ke Saath Riwaayat Kiya Hai.
9_Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah/65, Raqam-94,
10_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/74,
11_Mizzi Ne ‘Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal (17/72)’ Me Yeh Riwaayat Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Bayaan Karte Huwe Kaha Hai Ki Ise Nasa’i Ne ‘Al-Yawm Wa-Al-Laylah’ Me Riwayat Kiya Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/81, 82, Raqam-68.]