Fasl : 31
إنها علمت بوفاتها
Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Apne Wisaal Se Baakahabar Hona
82_ “Hazrat Ummi Salma رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayaan Karti Hain : Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Apni Maraze Maut Me Mubtala Huwi’n To Mein Un Kee Timaardaari Karti Thi. Maraz Ke Is Poore Arsa Ke Dauraan Jaha’n Tak Mein Ne Dekha Aik Sub’h Un Kee Haalat Qadrre Behtar Thi. Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Kisi Kaam Se Baahar Gaye. Sayyidah Ne Kaha : Amma’n! Mere Ghusl Kar Ne Ke Liye Paani Laaein. Mein Paani Laa’i, Aap Ne, Jaha’n Tak Mein Ne Dekha, Behtarin Ghusl Kiya. Phir Boli’n : Amma’n Ji! Mujhe Naya Libaas De’n. Mein Ne Aisa Hee Kiya. Aap Qibla Rukh Ho Kar Let Gayin. Haath Mubaarak Rukhsaar Ke Neeche Kar Liya. Phir Farmaya : Amma’n Ji! Ab Meri Wafaat Hogi, Mein Paak Ho Chuki Hoo’n, Lehaaza Koi Mujhe Urya’n Na Kare. Pas Usi Jagah Aap رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Kee Wafaat Ho Gayi.
“Ummi Salma Kehti Hain : Phir Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Tashrif Laa’e To Mein Ne Unhein Sayyidah Ke Wisaal Kee Ittela’ Dee.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/461, 462,
2_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/629, 725, Raqam-1074, 1243,
3_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/113,
4_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/211,
5_Zayla’iy Fi Nasb-ur-Rayah Takhrij Ahadith Al-Hidayah, 02/250,
6_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/103,
7_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/221,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/95, 96, Raqam-82.]