Fasl : 24
حفل زفاف فاطمة سلام الله عليها فى الملأ الأعلى و مشاركة أربعين ألف ملك فيه
Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Mala-E-A’la Me Nikaah, Aur Chaalis Hazaar Malaa’ikah Kee Shirkat
65_ “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai “Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Masjid Me Tashrif Farma They Ki Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Farmaya : Yeh Jibra’il Hai Jo Mujhe Yeh Bata Raha Hain Ki Allah Ta’ala Ne Fartimah Se Tumhaari Shaadi Kar Dee Hai Aur Tumhare Nikaah Par Chaalis Hazaar Firishto’n Ko Gawaah Ke Taur Par Majlise Nikaah Me Sharik Kiya Gaya, Aur Shajaraha-E-Tooba Se Farmaya : In Par Moti Aur Yaaqoot Nichhaawar Karo. Phir Dilkash Aankhon Waali Hoorein Un Motiyo’n Aur Yaaqooto’n Se Thaal Bharne Lagi’n. Jinhein (Taqribe Nikaah Me Shirkat Kar Ne Waale) Firishte Qiyamat Tak Aik Doosre Ko Bataur Tohfa Denge.”
–
[1_Muhibb Tabari Ne ‘Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah (03/146)’ Me Kaha Hai Ki Ise Mulla’ Ne ‘As-Sirah’ Me Riwaayat Kiya Hai.
2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/72,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/79, 80, Raqam-65.]
66_ “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Se Riwayat Hai Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mere Paas Aik Firishte Ne Aa Kar Kaha : Aye Muhammad! Allah Ta’ala Ne Aap Pas Salam Bheja Hai Aur Farmaya Hai : “Mein Ne Aap Kee Beti Fatimah Ka Nikaah Mala-E-A’la Me Ali Bin Abi Talib Se Kar Diya Hai, Pas Aap Zameen Par Bhi Fatimah Ka Nikaah Ali Se Kar De’n.”
–
[Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/72,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/80, Raqam-66.]