Fasl : 33
منظر مرور فاطمة سلام الله عليها على الصراط مع سبعين ألف جارية من الحور العين
Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ka Sattar Hazaar Hooro’n Ke Jhurmut Me Pul Siraat Se Guzarne Ka Manzar
87_ “Hazrat Aboo Ayyoob Ansari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai : Roze Qiyamat Arsh Kee Gehraa’iyo’n Se Aik Nida Dene Waala Aawaaz Dega : Aye Mahshar Waalo’n! Apne Saro’n Ko Jhuka Lo Aur Apni Nigaahein Neechi Kar Lo Taa Ki Fatimah Bint Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Pul Siraat Se Guzar Jaaein. Pas Aap Guzar Jaaeingi Aur Aap Ke Saath Hoore Iyn Me Se Chamakti Bijliyo’n Kee Tarah Sattar Hazaar Khaadimaaein Hongi.”
–
[1_Muhibb Tabari Ne ‘Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba (Saf’h-94)’ Me Kaha Hai Ki Ise Hafiz Aboo Sa’iyd Naqqash Ne ‘Fawa’id Al-‘Iraqiyin’ Me Riwaayat Kiya Hai.
2_Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal Fi Sunan Al-Aqwal Wa-Al-Af’al, 12/105, 106, Raqam-34209, 34210,
3_Ibn Jawzi Ne ‘Tadhkirat-ul-Khawass (Saf’h-279)’ Me Zara Mukhtalif Alfaaz Ke Saath Hazrat Abdullah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Kee Hai.
4_Haytami Ne ‘As-Sawa’iq Al-Muhriqah (02/557)’ Me Kaha Hai Ki Ise Aboo Bakr Ne ‘Al-Ghaylaniyat’ Me Riwaayat Kiya Hai.
5_Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 01/420, 429,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/100, 101, Raqam-87.]
88_ “Sayyidina Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Meri Beti Sayyidah Fatimah Qiyamat Ke Din Is Tarah Uthegi Ki Us Par Izzat Ka Joda Hoga, Jise Aabe Hayaat Se Dhoya Gaya Hai. Saari Makhlooq Use Dekh Kar Dang Reh Jaa’egi, Phir Use Jannat Ka Libaas Pehnaaya Jaa’ega Jis Ka Har Hulla Hazaar Hullo’n Par Mushtamil Hoga. Har Aik Par Sabz Khat Se Likha Hoga : Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Beti Ko Ahsan Soorat, Akmal Haybat, Tamam Tar Karaamat Aur Waafar Tar Izzat Ke Saath Jannat Me Le Jaao. Pas Aap Ko Dulhan Kee Tarah Saja Kar Sattar Hazaar Hooro’n Ke Jhurmut Me Jannat Kee Taraf Laaya Jaa’ega.”
–
[1_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/95,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/101, Raqam-88.]