Fasl : 19
من أبغض أهل بيت فاطمة سلام الله عليها فقد دخل النار ولعن الله عزو جل عليه
Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Ke Gharaane Ka Dushman Munaafiq, La’nati Aur Dozakhi Hai
50_ “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Jis Ne Hum Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakkha To Woh Munaafiq Hai.”
–
[1_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/661, Raqam-1126,
2_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/326,
3_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/51,
4_Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 07/349,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/66, Raqam-50.]
51_ “Hazrat Zirr Bayaan Karte Hain Ki Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ne Farmaaya : Munaafiq Shakhs Kabhi Bhi Hamaare Saath Mahabbat Nahin Karta Aur Momin Shakhs Kabhi Bhi Hamaare Saath Bughz Nahin Rakhta.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/372, Raqam-32116,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/66, Raqam-51.]
52_ “Hazrat Jabir Bin Abdullah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hamein Khutba Irshaad Farmaaya, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Farma Rahe They : Jis Ne Hum Ahl-E-Bayt Ke Saath Bughz Rakkha Roze Qiyamat Us Ka Hashr Yahoodiyo’n Ke Saath Hoga. Mein Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم! Agarche Woh Rozah Rakkhe Aur Namaaz (Bhi) Padhe? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Haa’n! Agarche Woh Rozah Rakkhe Aur Namaz (Bhi) Padhe (Is Ke Baawujood Dushmane Ahl-E-Bayt Hone Kee Waj’h Se Allah Ta’ala Us Kee Ibaadat Ko Radd Farma Kar Use Yahoodiyo’n Ke Saath Uthaa’ega).”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/212, Raqam-4002,
2_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/172,
3_Jurjani Fi Tarikh Jurjan Aw Ma’rifah Ulama’ Ahli Jurjan,/369,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/66, 67, Raqam-52.]
53_ “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Rasoole Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Khuda Kee Qasam Jis Ke Qabza-E-Qudrat Me Meri Jaan Hain! Hum Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakhne Waala Koi Aik Shakhs Bhi Aisa Nahin Ki Jise Allah Ta’ala Jahannam Me Na Daale.”
–
[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/162, Raqam-4717,
2_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/435, Raqam-6978,
3_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/123,
Hakim Ke Nazdeek Yeh Hadith Imam Muslim Kee Shara’it Ke Mutaabiq Sahih Hai.
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/67, 68, Raqam-53.]
54_ “Hazrat Abdullah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwaayat Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Agar Koi Shakhs Ka’batullah Ke Paas Rukne Yamaani Aur Maqaame Ibrahim Ke Darmiyaan Khada Ho Kar Namaaz Padhe Aur Rozah (Bhi) Rakkhe Aur Phir Woh Is Haal Me Mare Ke Ahl-E-Bayt Se Bughz Rakhta Ho To Woh Shakhs Jahannam Me Jaa’ega.”
–
[1_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/51,
2_Ibn Bashkuwal Fi Ghawamid Al-Asma’ Al-Mub’hamah Al-Waqi’ah Fi Mutoon Al-Ahadith Al-Musnadah, 01/505,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/67, 68, Raqam-54.]
55_ “Hazrat Mu’awiyah Bin Hudayj Ne Hazrat Hasan Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwaayat Kiya Hai Ki Aap رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Aye Mu’awiyah Bin Hudayj! Hamaare Saath Bughz Rakhne Se Bache Rehna, Kyoo’n Ki RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Farmaane Aqdas Hai : Hamaare Saath Bughz-o-Hasad Rakhne Waala Koi Aik Shakhs Bhi Aisa Nahin Ki Jise Qiyaamat Ke Din Hauze Kawthar Se Aag Ke Durre Se Dhutkaara Na Jaa’e.”
–
[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/393, Raqam-2405,
2_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/81, Raqam-2726,
Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/68, Raqam-55.]