Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Hayaat Me Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ko Doosri Shaadi Kee Ijaazat Na Thi

Fasl : 26

لم يؤذن لعلى بزواج ثان فى حياة فاطمة الزهراء سلام الله عليها

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Hayaat Me Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ko Doosri Shaadi Kee Ijaazat Na Thi

 

69_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Yeh Baat Sunaa’i Ki Unhone Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Mimbar Par Yeh Farmate Huwe Suna : Bani Hisham Bin Mughirah Ne Apni Beti Ka Ali Se Rishtah Kar Ne Kee Mujh Se Ijaazat Maangi Hai, Mein Un Ko Ijaazat Nahin Deta, Phir Mein Un Ko Ijaazat Nahin Deta, Phir Mein Un Ko Ijaazat Nahin Deta. Aur Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yrh Bhi Farmaya : Meri Beti (Fatimah) Meri Jaan Ka Hissah Hai, Us Kee Pareshaani Mujhe Pareshaan Karti Hai Aur Us Kee Taklif Mujhe Taklif Deti Hai.”

[1_Muslim Fi As-Sahih, 04/1902, Raqam-2449,

2_Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/698, Raqam-3867,

3_Aboo Dawud Fi As-Sunan, 02/226, Raqam-2071,

4_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/643, Raqam-1998,

5_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/147, Raqam-8518,

6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/328,

7_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/756, Raqam-1328,

8_Aboo ‘Awanah Fi Al-Musnad, 03/69, 70, Raqam-4231,

9_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 07/307,

10_Bayhaqi Fi As-Sunan Al-Kubra, 10/288,

11_Hakim At-Tirmidhi Fi Nawadir-ul-Usool Fi Ma’rifati Ahadith-ir-Rasool  SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam ,  03/184,

12_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 07/325,

13_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/07,

14_Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/79, 80,

15_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/217,

16_Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/274,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/83, 84, Raqam-69.]

 

 

70_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai Aur Mein Yeh Baat Pasand Nahin Karta Ki Koi Shakhs Use Naaraaz Kare. Khuda Kee Qasam Kisi Shakhs Ke Paas Rasool Allah Aur Dushmane Khuda Kee Betiya’n Jam’a Nahin Ho Sakti’n.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1364, Raqam-3523,

2_Muslim Fi As-Sahih, 04/1903, Raqam-2448,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/644, Raqam-1999,

4_Ahmad Bin Hanbl Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/759, Raqam-1335,

5_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/407, 408, 535, Raqam-6956, 6957, 7076,

6_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/18, 19, Raqam- 18, 19,

7_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/405, Raqam-1013,

8_Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 02/73, Raqam-804,

9_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/203,

10_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/47, 48, Raqam-56,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/84, Raqam-70.]