Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Riza ……. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Riza

Fasl : 14

رضاء فاطمة سلام الله عليها رضاء النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Riza ……. Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Riza

 

40_             “Hazrat Miswar Bin Makhramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Fatimah Meri Shaakhe Thamare Baar Hai, Jis Cheez Se Use Khushi Hoti Hai Us Cheez Se Mujhe Bhi Khushi Hoti Hai Aur Jis Cheez Se Use Taklif Pahunchti Hai Us Cheez Se Mujhe Taklif Pahunchti Hai.”

[1_Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/168, Raqam-4734,

2_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/332,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/765, Raqam-1347,

4_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/362, Raqam-2956,

5_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/25, Raqam-30,

6_Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/203,

7_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 03/206,

8_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/132,

9_Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 09/329,

10_Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 03/257,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/52, Raqam-40.]

 

 

41_             “Sa’iyd Bin Abban Qurashi Bayaan Karte Hain Ki Hazrat Abdullah Bin Hasan Bin Hasan Bin Ali Bin Abi Talib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُم, Jo Ki Abhi Nau Umr They, Apne Aik Kaam Ke Silsile Me Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Milne Aa’e. Pas (Un Ke Aane Par) Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Apni Majlis Barkhaast Kar Dee Aur Un Ka Istiqbaal Kiya Aur Un Kee Zaroorat Poori Kee. Phir Un Ke Pet Ke Hal Ko Is Qadr Dabaaya Ki Unhein Dard Mahsoos Huwi, Aur Farmaya : Yeh Baat (Qiyaamat Ke Din) Shafaa’at Ke Waqt Yaad Rakhna. Jab Woh Sayyid Chale Gaye To Logo’n Ne Unghein Malaamat Kee Aur Kaha : Aap Ne Aik Nau Umr Ladke Kee Itni Aao Bhagat Kee? Is Par Aap Ne Farmaya : Mein Ne Aik Thiqah Raawi Se Hadith Mubaaraka Is Tarah Suni Hai Ki Goya Mein Khud Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Sun Raha Hoo’n (Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farma Rahe Hain: )

 

“Be Shak! Fatimah Meri Jaan Ka Hissa Hai, Jo Ise Khush Karta Hai Woh Mujhe Khush Karta Hai.”

 

“Phir Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaaya: ) Mein Jaanta Hoo’n Ki Agar Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Hayaat Hoti’n To Woh Is Amal Se Zaroor Khush Hoti‘n Jo Mein Ne Un Ke Bete Ke Saath Kiya Hai. Logo’n Ne Poochha : Aap Ka Un Ke Pet Me Kachoke Lagaane Ka Kya Matlab Hai Aur Jo Kuchh Aap Ne Farmaya Us Se Kya Muraad Hai? Is Par Hazrat Umar Bin Abd-ul-Aziz رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ne Farmaya : Bani Haashim Me Aik Shakhs Bhi Aisa Nahin Jise Shafaa’at Kar Ne Ka Ikhtiyaar Na Diya Gaya Ho, Pas Mein Ne Chaaha Ki Mein Us Ladke Kee Shafaa’at Ka Haque Daar Banoo’n.”

[Sakhawi Fi Istijlabu Irtiqa’-il-Ghurafi Bi-Hubbi Aqriba’ Ar-Rasooli SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Wa Dhaw-ish-Sharaf,/96, 97,

Sakhawi Ne Isi Kitaab Ke ‘Saf’h : 150’ Par Isi Tarah Ka Aik Waaqe’a Khud Abdullah Bin Hasan Se Riwaayat Kiya Hai, Woh Farmaate Hain : Mein Aik Kaam Ke Silsile Me Umar Bin Abd-ul-Aziz Ke Paas Gaya To Unhone Mujhe Kaha : Jab Aap Ko Koi Haajat Pesh Aa’e To Koi Aadami Bhej Diya Kare’n Ya Khat Likh Bheje’n, Mujhe Allah Ta’ala Se Haya’ Aati Hai Ki Yoo’n Aap Ko Apne Darwaaze Par Dekhoo’n.”

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/56_58, Raqam-41.]