Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا ……. Raazdaare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

Fasl : 20

أسر النبى صلى الله تعالى عليه وآله وسلم إلى فاطمة الزهراء سلام الله عليها

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا ……. Raazdaare Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم

 

56_             “Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karti Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Tamam Azwaaj Jam’a Thi’n Aur Koi Bhi Ghair Haazir Nahin Thi. Itne Me Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Waha’n Aa Gayi’n Jin Kee Chaal Bilkul Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Chalne Ke Mushaabeh Thi. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Marhaba (Khush Aamadid) Meri Beti! Phir Unhien Apni Daa’in Ya Baa’in Jaanib Bitha Liya, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Chupke Se Koi Baat Kahi To Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Rone Lagi’n, Phir Chupke Se Koi Baat Kahi To Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Hansne Lagi’n. Mein Ne Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Kaha : Aap Kis Waj’h Se Ro’iyn? Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Kaha : Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Raaz Ifsha’ Nahin Karoongi. Mein Ne Kaha : Mein Ne Aaj Kee Tarah Koi Khushi, Gham Se Itne Qareeb Nahin Dekhi. Mein Ne Kaha : Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Hamaare Baghair Khushoosiyyat Saath Aap Se Koi Baat Kee Hai, Phir Bhi Aap Ro Rahi Hain, Aur Mein Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Poochha : Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Kaya Farmaya Tha? To Unhone Kaha : Mein RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Raaz Ifsha’ Nahin Karoongi Hatta Ki Jab Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Wisaal Mubaarak Ho Gaya To Mein Ne Phir Poochha. Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Kaha : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne (Pehli Baar) Yeh Farmaya Tha Ki Jibra’il Mujh Se Har Saal Aik Baar Qur’an Majeed Ka Daur Karte They, Aur Is Saal Unhone Mujh Se Do (02) Baar Qur’an Majeed Ka Daur Kiya Hai Aur Mujhe Yaqeen Hai Ki Ab Mera Wisaal Ka Waqt Aa Gaya Hai, Aur Mere Baa’d Mere Ahl Me Se Sab Se Pehle Tum Mujhe Milogi Aur Mein Tumhaare Liye Behtareen Pesh Rau Hoo’n. Tab Mein Rone Lagi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Kee Aur Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Khush Nahin Ki Tum Tamaam Mu’min Aurto’n Kee Sardaar Ho, Ya Meri Is Ummat Kee Aurto’n Kee Sardaar Ho! To Mein Is Waj’h Se Hans Padi.”

[1_Mulim Fi As-Sahih, 04/1905, 1906, Raqam-2450,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 05/3217, Raqam-5928,

3_Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/518, Raqam-1620,

4_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

5_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/96, 146, Raqam-8368, 8516, 8517,

6_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-263,

7_Nasa’i Fi Kitab Al-Wafat,/20, Raqam-02,

8_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/762, 763, Raqam-1343,

9_Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 05/368, Raqam-2968,

10_Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/06, 07, Raqam-05,

11_Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Kabir (22/416, Raqam-1030)’ Me Hazrat Aboo Tufayl رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Kee Hai.

12_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/419, Raqam-1303,

13_Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 02/06, 07,

14_Ibn Jawzi Fi Tadhkirat-ul-Khawass,/278,

15_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/218,

16_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/130,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/69_71, Raqam-56.]

 

 

57_             “Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Maraze Wisaal Me Apani Saahibzaadi Hazrat Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko Bulaaya Phir Un Se Kuchh Sargoshi Farmaa’i To Woh Rone Lagi’n. Phir Unhein Qareeb Bula Kar Sargoshi Kee To Woh Hans Padi. Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain :  Mein Ne Us Baare Me Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Poochha To Unhone Bataaya : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mere Kaan Me Farmaya Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Isi Maraz Me Wisaal Ho Jaa’ega. Pas Mein Rone Lagi, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sargoshi Karte Huwe Mujhe Bataaya Ki Mere Ahl-E-Bayt Me Sab Se Pehle Tum Mere Ba’d Aa’ogi Us Par Mein Hans Padi.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1361, Raqam-3511,

2_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1327, Raqam-3427,

3_Bukhari Fi As-Sahih, 04/1612, Raqam-4170,

4_Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

5_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah/77, Raqam-296,

6_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/77,

7_Ahmad Bin Hanbal Fi Faza’il-us-Sahabah, 02/754, Raqam-1322,

8_Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/404, Raqam-6954,

9_Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 12/122, Raqam-6755,

10_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/420, Raqam-1036,

11_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/100, Raqam-185,

12_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 35/253,

13_Asbahani Fi Dala’il-un-Nubuwwah,/98,

14_Dhahabi Ne ‘Al-Mu’jam Al-Muhaddithin (Saf’h-13, 14,)’ Me Ise Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Muttafaque Alayh Hadith Qaraar Diya Hai.

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/71, 72, Raqam-57.]

 

 

58_             “Sayyidah Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmaati Hain : Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Hamraah Ghar Me Thi, Hum Aapas Me Mizaah Kar Rahe They. Itne Me Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Tashrif Laa’in. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Ka Haath Pakda Aur Apne Peechhe Bitha Liya Aur Kuchh Sargoshi Farmaa’i. Mujhe Us Ka Ilm Nahin Ki Kya Sargoshi Thi. Phir Mein Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Kee Taraf Dekha To Woh Ro Rahi Thi’n, Phir RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Meri Taraf Mutawajje Huwe, Mujh Se Baat Cheet Kee. Phir Un Kee Taraf Mutawajje Huwe Aur Un Se Mizaah Farmaaya Aur Sargoshi Kee. Mein Ne Dekha Ki Fatimah Hans Rahi Hain. Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Uth Kar Baahar Tashrif Le Gaye To Mein Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Se Poochha : Aap Se Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Kya Sargoshio Farmaa’i? Woh Boli’n : Jo Baat Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Chupke Se Bataa’i, Mein Aap Ko Nahin Bataa’ungi. Mein Ne Kaha : Mein Aap Ko Allah Ta’ala Aur Qaraabat Daari Ka Waasta Deti Hoo’n. Woh Boli’n : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Apni Wafaat Ka Bataaya Ki Aap Ka Waqt Aa Pahuncha Hai. Pas Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Judaa’i Par Ro Padi, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Phir Meri Taraf Mutawajje Huwe Aur Mujhe Chupke Se Bataaya Ki Ahl-E-Bayt Me Se Sab Se Pehle Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Miloongi. To Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Mulaaqaat Kee (Aas Me) Hans Padi.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/420, Raqam-1035,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/72, 73, Raqam-58.]