Posted in Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Sab Jahaano’n Kee Sardaar Hain

Fasl : 03

فاطمة سلام الله عليها سيدة نساء العالمين

Sayyidah سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Sab Jahaano’n Kee Sardaar Hain

 

05_             “Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aye Fatima! Kya Too Nahin Chaahti Ki Too Tamaam Jahaano’n Kee Aurto’n, Meri Is Ummat Kee Tamaam Aurto’n Aur Mu’minin Kee Tamaam Aurto’n Kee Sardaar Ho!.”

[1_Hakim Ne ‘Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn (03/170, Raqam-4740)’ Me Ise Sahih Qaraar Diya Hai Jab Ki Dhahabi Ne Is Kee Taa’id Kee Hai.

2_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 04/251, Raqam-7078,

3_Nasa’i Fi As-Sunan Al-Kubra, 05/146, Raqam-8517,

4_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247, 248,

5_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 08/26, 27,

6_Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 07/218,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/21 Raqam-05.]

 

 

06_             “Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmaati Hain Ki Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا Aa’in Aur Un Ka Chalna Hoobahoo Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Chalne Jaisa Tha. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Apne Lakhte Jigar Ko Khush Aamadeed Kaha Aur Apne Daa’in Ya Baa’in Jaanib Bitha Liya, Phir Chupke Chupke Un Se Koi Baat Kahi To Woh Rone Lagi’n, Pas Mein Ne Un Se Poochha Ki Kyoo’n Ro Rahi Hain? Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Un Se Koi Baat Chupke Chupke Kahi To Woh Hans Padi’n. Pas Mein Ne Kaha Ki Aaj Kee Tarah Mein Ne Khushi Ko Gham Ke Itne Nazdeek Kabhi Nahin Dekha. Mein Ne (Hazrat Fatimat-uz-Zahra’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se) Poochha : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Kya Farmaya Tha? Unhone Jawaab Diya : Mein Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Raaz Ko Faash Nahin Kar Sakti. Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ka Wisaal Ho Gaya To Mein Ne Un Se (Us Baare Me) Phir Poochha To Unhone Jawaab Diya : Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujh Se Sargoshi Kee Ki Jibra’il Har Saal Mere Saath Qur’an Kareem Ka Aik Baar Daur Kiya Karte They Lekin Is Saal Do Martaba Kiya Hai, Mujhe Yaqeen Hai Ki Mera Aakhiri Waqt Aa Pahuncha Hai Aur Be Shak Mere Ghar Waalo’n Me Se Tum Ho Jo Sab Se Pehle Mujh Se Aa Milogi. Is Baat Ne Mujhe Rulaaya, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Tum Tamaam Jannati Aurto’n Kee Sardaar Ho Ya Tamaam Musalamaan Aurto’n Kee Sardaar Ho! Pas Is Baat Par Mein Hans Padi.”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 03/1326, 1327, Raqam-3426, 3427,

2_Muslim Fi As-Sahih, 04/1904, Raqam-2450,

3_Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/282,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/21_23, Raqam-06.]

 

 

07_             “Hazrat Masrooq Riwaayat Karte Hain Ki Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaishah Siddiqah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Sayyidah Fatimah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Farmaya : Aye Fatimah! Kya Too Is Baat Par Raazi Nahin Hai Ki Musalmaan Aurto’n Kee Sardaar Ho Ya Meri Is Ummat Kee Sab Aurto’n Kee Sardaar Ho!”

[1_Bukhari Fi As-Sahih, 05/2317, Raqam-5928,

2_Muslim Fi As-Sahih, 04/1905, Raqam-2450,

3_Nasa’i Fi Fada’il Al-Sahabah,/77, Raqam-263,

4_Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il As-Sahabah, 02/762, Raqam-1342,

5_Tayalisi Fi Al-Musnad, /196, Raqam-1373,

6_Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat Al-Kubra, 02/247,

7_Doolabi Fi Adh-Dhurriyah At-Tahirah,/101, 102, Raqam-188,

8_Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 02/39, 40,

9_Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/130,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/23, Raqam-07.]

 

 

08_             “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aasmaan Ke Aik Firishte Ne Meri Ziyaarat Nahin Kee Thi , Pas Us Ne Allah Ta’ala Se Meri Ziyaarat Kee Ijaazat Lee Aur Us Ne Mujhe Khush Khabari Sunaa’i (Ya) Mujhe Khabar Dee Ki Fatimah Meri Ummat Kee Sab Aurto’n Kee Sardaar Hain.”

[1_Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/403, Raqam-1006,

2_Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 01/232, Raqam-728,

3_Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id (09/201)’ Me Kaha Hai Ki Ise Tabarani Ne Riwaayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Sahih Hain, Siwaa’e Muhammad Bin Marwan Dhuhali Ke, Use Ibn Hayyan Ne Thiqah Qaraar Diya Hai.

4_Dhahabi Fi Siyar A’lam An-Nubula’, 02/127,

5_Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal, 26/391,

Ad-Durrat-ul-Bayda’ Fi Manaqibi Fatimat-uz-Zahra’ سَلاَمُ اللهِ عَلَيْهَا,/23, 24, Raqam-08.]