Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Aasmaani Bijli Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Liye Raasta Raushan Karna

Fasl : 37

Aasmaani Bijli Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Liye Raasta Raushan Karna

 

124            “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Hamraah Namaze Isa’ Ada Kar Rahe They, Jab Aap Sajde Me Ga’e To Hazrat Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e, Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Sajde Se Sar Uthaaya To In Dono’n Ko Apne Pichhe Se Narmi Se Pakad Kar Zameen Par Bitha Diya. Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Do Baarah Sajde Me Ga’e To Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ne Do Baarah Aise Hee Kiya Hatta Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Namaaz Mukammal Karne Ke Baa’d Dono’n Ko Apni (Mubarak) Raano’n Par Bitha Liya. Mein Ne Khade Ho Kar Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Mein Inhein Waapas Chhod Aata Hoo’n. Pas Achaanak Aasmaani Bijli Chamki Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne (Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام)Ko Farmaya Ki Apni Waalidah Ke Paas Chale Jaao. Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Un Ke Ghar Me Daakhil Hone Tak Woh Raushni Barqaraar Rahi.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/513, Raqam-10669,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/51, Raqam-2659,

3-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/183, Raqam-4782,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,

5-Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 06/81, Raqam-1615,

6-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/256,

7-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/258,

8-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 02/124,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/109, 110, Raqam-124.]