Fasl : 33
Allah Ta’ala Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Mawjoodagi Ke Zari’e Jannat Ko Aaraasta Karna
110 “Hazrat Uqbah Bin Amir رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Arsh Ke Do-02 Sutoon Hain Lekin Woh Latke Hu’e Nahin Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : Jab Ahle Jannat, Jannat Me Muqim Ho Jaaeinge To Jannat Arz Karegi : Aye Parwardigaar ! Too Ne Mujhe Apne Sutoono’n Me Se Do-02 Sutoono’n Se Muzayyan Karne Ka Waa’dah Farmaya Tha. Allah Ta’ala Farmayega : Kya Mein Ne Tujhe Hasan Aur Husayn Kee Mawjoodagi Ke Zari’e Muzayyan Nahin Kar Diya? (Yahi To Mere Do-02 Sutoon Hain).”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/108, Raqam-337,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/184,
3-Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 01/278,
4-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 01/257, Raqam-804,
5-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 02/239, Raqam-697,
6-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/228,
7-Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 03/415,
8-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 02/562,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/97, 98, Raqam-110.]
111 “Hazrat Anas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aik Martaba Jannat Ne Dozakh Par Fakhr Kiya Aur Kaha Mein Tum Se Behtar Ho’n, Dozakh Ne Kaha : Mein Tum Se Behtar Hoo’n. Jannat Ne Dozakh Se Puchha Kis Wajah Se? Dozakh Ne Kaha : Is Liye Ki Mujh Me Bade-Bade Jaabir Hukmara’n Fir’aun Aur Namrood Hain. Is Par Jannat Khaamosh Ho Gayi, Allah Ta’ala Ne Jannat Kee Taraf Wah’iy Kee Aur Farmaya : Too Aajiz Wa Laa Jawaab Na Ho, Mein Tere Do-02 Sutoono’n Ko Hasan Aur Husayn Ke Zari’e Muzayyan Kar Dunga. Pas Jannat Khushi Aur Suroor Se Aisi Sharma Gayi Jaise Dulhan Sharmati Hai.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/148, Raqam-7120,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/184,
Is Hadith Ke Aik Raawi “’Abbad Bin Suhayb” Par Baa’z Muhaddithin Ne Kalaam Kiya Hai Magar Imam Ahmad Bin Hanbal, Aboo Dawud, Abadan Ahwazi Ne Is Ko Saadiq Qaraar Diya Aur Yahya Bin Mu’iyn Ne Aboo ‘Asim Al-Nabil Se Is Kee Riwayat Saabit Kee Hai.
1-Ibn Shahin Fi Tarikh Asma’ Al-Thiqat, 01/171,
2-Dhahabi Fi Al-Mughni Fi Du’afa’, 01/326,
3-Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 04/347,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/98, Raqam-111.]
112 “Hazrat Abbas Bin Zuray’ Azdi Apne Waalid Se Marfu’an Riwayat Karte Hain Ki Jannat Ne (Allah Ta’ala Kee Baargah Me) Arz Kiya : Aye Mere Parwardigaar! Too Ne Mujhe Haseen-o-Jameel Banaaya Hai Too Mere Sutoono’n Ko Bhi Haseen Bana. Allah Ta’ala Ne Farmaya : Mein Ne Tere Sutoono’n Ko Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Zari’e Haseen-o-Jameel Bana Diya Hai.”
–
[1-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 06/241, Raqam-848,
2-Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 07/157, Raqam-9458,
3-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 01/287,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/99, Raqam-112.]