Fasl : 28
Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Daurane Namaz Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Sawaar Ho Ga’e
92 “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Hamraah Namaze Isha’ Ada Kar Rahe They, Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sajde Me Ga’e To Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e, Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Sajde Se Sar Uthaaya To Un Dono’n Ko Apne Pichhe Se Narmi Ke Saath Pakad Kar Zameen Par Bitha Diya. Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Do Baarah Sajde Me Ga’e To Shahzaadgaan Ne Do Baarah Aise Hee Kiya (Yeh Silsila Chalta Raha) Yaha’n Tak Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Namaz Mukammal Kar Lee Us Ke Baa’d Dono’n Ko Apni Mubarak Raano’n Par Bitha Liya.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/513, Raqam-10669,
2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/51, Raqam-2659,
3-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/183, Raqam-4782,
4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,
5-Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 06/81, Raqam-1615,
6-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/256,
7-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/258,
8-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 02/124,
9-Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/136,
10-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 06/152,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/82, 83, Raqam-92.]
93 “Zirr Bin Jaysh رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Aik Din Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Logo’n Ko Namaz Padha Rahe They Ki Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Jo Us Waqt Bacche They Aa’e. Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sajde Me Ga’e To Woh Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Hone Lage, Log Unhein Rokne Ke Liye Aage Badhe To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mere Maa’n Baap In Par Qurbaan Ho’n! Inhein Chhod Do….. Ya’ni Sawaar Hone Do.”
–
[Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/263, Raqam-3237,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/83, Raqam-93.]
94 “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Namaaz Ada Farma Rahe They, Jab Sajde Me Ga’e To Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e, Jab Logo’n Ne Unhein Rokna Chaaha To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Logo’n Ko Ishaarah Farmaya Ki Nahin Chhod Do. Ya’ni Sawaar Hone Do, Phir Jab Namaaz Ada Farma Chuke To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Dono’n Ko Apni Goud Me Le Liya.”
–
[1-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/50, Raqam-8170,
2-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/71,
3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/122,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/83, 84, Raqam-94.]
95 “Hazrat Bara’ Bin Aazib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Namaaz Padhaate To Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Dono’n Me Se Koi Aik Aa Kar Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Jaata Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sajde Me Hote, Sajde Se Sar Uthaate Hu’e Agar Aik Hota To Us Ko Ya Dono’n Hote To Bhi Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Un Ko Thaam Lete, Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Farmate : Tum Do Sawaaro’n Ke Liye Kitni Achchhi Sawaari Hai.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/205, Raqam-3987,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/84, Raqam-95.]
96 “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Kisi Shakhs Ko Ahd Naama Likh Kar Diya To Us Shakhs Ne Haazir Ho Kar Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Halate Namaz Me Salam Arz Kiya, Phir Us Ne Dekha Ki Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kabhi Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Gardan Mubarak Aur Kabhi Pusht Mubarak Par Sawaar Hote Hain Aur Halate Namaz Me Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Aage Pichh Se Guzar Rahe Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Namaaz Se Faarigh Hone Ke Baa’d Us Shakhs Ne Kaha : Kya Woh Dono’n Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Namaz Nahin Todte? Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Jalaal Me Aa Kar Farmaya : Mujhe Apna Ahd Naama Do. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Use Le Kar Phaad Diya Aur Farmaya : Jo Hamaare Chhoto’n Par Rahm Aur Bado’n Ka Adab Nahin Karta Woh Hum Me Se Nahin Aur Na Hee Mein Us Se Hoo’n.”
–
[Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/132,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/84, 85, Raqam-96.]
97 “Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Namaze ‘Asr Ada Kee Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Chauthi Rak’at Me They To Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e. Jab Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Salaam Phera To Un Dono’n Ko Apne Saamne Bitha Liya Hasan رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ke Aage Aane Par Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Use Apne Daa’ein Kandhe Par Aur Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ko Baa’ein Kandhe Par Utha Liya.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 06/298, Raqam-6462,
2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/66, Raqam-2682,
3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/184,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/85, Raqam-97.]