Fasl : 26
Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Huzoore Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Zubane Mubarak Chooste They
89 “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath (Safar Me) Nikle, Abhi Hum Raaste Me Hee They Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Aawaaz Suni Dono’n Ro Rahe They Aur Dono’n Apni Waalidah Majidah (Sayyidah Fatimah) Ke Paas Hee They. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Un Ke Paas Tezi Se Pahunche. (Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Kehte Hain Ki) Mein Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Se Yeh Farmate Hu’e Suna : Mere Beto’n Ko Kya Huwa? Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ne Bataaya Inhein Sakht Pyaas Lagi Hai. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Paani Lene Ke Liye Mashkeeze Kee Taraf Badhe. In Dinon Paani Kee Sakht Qillat Thi Aur Logo’n Ko Paani Kee Shadeed Zaroorat Thi. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Logo’n Ko Aawaaz Dee : Kya Kisi Ke Paas Paani Hai? Har Aik Ne Kajaawon Se Latakte Hu’e Mashkeezo’n Me Paani Dekha Magar Un Ko Qatrah Tak Na Mila. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Se Farmaya : Aik Baccha Mujhe De’n Unhone Aik Ko Parde Ke Neeche Se De Diya. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Us Ko Pakad Kar Apne Seene Se Laga Liya Magar Woh Sakht Pyaas Kee Wajah Se Musalsal Ro Raha Tha Aur Khaamosh Nahin Ho Raha Tha. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Us Ke Moonh Me Apni Zubaan Mubaarak Daal Dee Woh Use Choosne Laga Hatta Ki Sairaabi Kee Wajah Se Sukoon Me Aa Gaya Mein Ne Do Baarah Us Ke Rone Kee Aawaaz Na Suni, Jab Kee Doosra Bhi Usi Tarah (Musalsal Ro Raha Tha) Pas Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Doosra Bhi Mujhe De De’n To Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ne Doosre Ko Bhi Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Hawaale Kar Diya Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Us Se Bhi Wohi Mu’aamala Kiya (Ya’ni Zubaan Mubarak Us Ke Moonh Me Daali) So Woh Dono’n Aise Khaamosh Hu’e Ki Mein Ne Do Baarah Un Ke Rone Kee Aawaaz Na Suni.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/50, Raqam-2656,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,
Haythami Ne Is Ke Ruwaat Ko Thiqah Qaraar Diya Hain.
3-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/231,
4-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/221,
5-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/298,
6-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/306,
7-Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra, 01/106,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/78, 79, Raqam-89.]