Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Rone Se Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Pareshaan Ho Ga’e

Fasl : 24

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Rone Se Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Pareshaan Ho Ga’e

 

86              “Yahya Bin Abi Kathir Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Hasan Aur Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Rone Kee Aawaaz Suni To Pareshaan Ho Kar Khade Ho Ga’e Aur Farmaya : BeShak Awlaad Aazmaa’ish Hai, Mein In Ke Liye Baghair Ghaur Kiye Khada Ho Gaya Hoo’n.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/379, Raqam-32186,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/75, Raqam-86.]

 

 

87              “Yazid Bin Aboo Ziyaad Se Riwaayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ke Ghar Se Baahar Tashrif Laa’e Aur Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ke Ghar Ke Paas Se Guzare To Hazrat Husayn  عَلَيْهِ السَّلَام Ko Rote Hu’e Suna, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : “Kya Tujhe Ma’loom Nahin Ki Is Ka Rona Mujhe Taklif Deta Hai.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/116, Raqam-2847,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/201,

3-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/284,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/75, Raqam-87.]