Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Qiyamat Ke Din Arshe Ilahi Ke Gumbad Ke Neeche Honge

Fasl : 34

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Qiyamat Ke Din Arshe Ilahi Ke Gumbad Ke Neeche Honge

 

113            “Hazrat Aboo Moosa Ash’ari رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mein, Ali, Fatimah, Hasan Aur Husayn Qiyamat Ke Din Arsh Ke Gumbad Ke Neeche Honge.”

[1-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/174,

2-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/100, Raqam-34177,

3-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Lisan-ul-Mizan, 02/94,

4-Zarqani Fi Sharh-ul-Zarqani ‘Ala Muwatta’, 04/443,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/100, Raqam-113.]

 

 

114            “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : BeShak Fatimah, Ali, Hasan Aur Husayn Jannat-ul-Firdaws Me Safaid Gumbad Me Muqim Honge Jis Kee Chhat Arshe Khudawandi Hoga.”

[1-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/61,

2-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/98, Raqam-34167,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/100, 101, Raqam-114.]

 

 

115            “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Famraya : Jannat Me Aik Maqaam Hai Jise Wasilah Kehte Hain, Pas Jab Tum Allah Se Sawaal Karo To Mere Liye Wasilah Ka Sawaal Karo. Sahaba-E-Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! (Waha’b) Aap Ke Saath Koun Rahega? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Ali, Fatimah Aur Hasan Wa Husayn (Waha’n Mere Saath Rahenge).”

[1-Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 02/45,

2-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/103, Raqam-34195,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/101, Raqam-115.]