Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Qiyamat Ke Din Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Rahenge

Fasl : 35

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Qiyamat Ke Din Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Rahenge

 

116            “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Mein Apne Bistar Par Soya Huwa Tha Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hamaare Ghar Tashrif Laa’e Hasan Ya Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام (Me Se Kisi Aik Ne Paani Maanga. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hamaari Bakri Ke Paas Aa’e Jo Bohat Kam Doodh Waali Thi. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Us Ka Doodh Nikaala To Us Ne Bohat Ziyaadah Doodh Diya, Pas Hasan عَلَيْهِ السَّلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas Aa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Us Kee Taraf Mutawajjih Hu’e. Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ne Farmaya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Lagta Hai Yeh Aap Ko In Dono’n Me Ziyadah Pyaara Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya Nahin Balki Is Ne Pehle Paani Maanga Tha Phir Famraya : Mein, Aap, Yeh Dono’n Aur Yeh Sone Waala (Hazrat Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Kyun Ki Woh Abhi So Kar Uthe Hee They) Qiyamat Ke Din Aik Hee Jagah Par Honge.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/101, Raqam-792,

2-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/228,

3-Shaybani Fi Al-Sunnah, 02/598, Raqam-1322,

4-Bazzar Fi Al-Musnad, /303, Raqam-779,

5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/170,

6-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/692, Raqam-1183,

7-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/25,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/102, 103, Raqam-116.]

 

 

117            “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sayyidah Fatimah  سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ke Ghar Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mein, Tum Aur Yeh Sone Waala (Ya’ni Ali Woh Abhi So Kar Uthey Hee They) Aur Yeh Dono’n Ya’ni Hasan Aur Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Qiyamat Ke Din Aik Hee Jagah Honge.”

[1-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/147, Raqam-4664,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/405, Raqam-1016,

3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/171,

Hakim Ne Is Riwayat Kee Isnad Ko Sahih Qaraar Diya Hai.

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/103, Raqam-117.]

 

 

118            “Hazrat Aboo Fakhtah(Sa’iyd Bin ‘Ilaqah) رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ, Ali, Fatimah, Aur Hasan Wa Husayn رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُm Ajma’iyn Ghar Par They Ki Hasan Ne Paani Maanga. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ  Ne Aadhi Raat Ko Uth Kar Use Paani Pilaaya. (Isi Dauraan Jab Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hazrat Hasan عَلَيْهِ السَّلَام Ko Paani Pilaane Hee Waale They) Ki Hazrat Husayn عَلَيْهِ السَّلَام Ne Wohi Paani Talab Kiya, Jise Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Pehle Dene Se Inkaar Farmaya (Kyun Ki Hasan عَلَيْهِ السَّلَام In Se Qabl Paani Maang Chuke They Aur Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Is Tarteeb Se Dena Chaahte They Yeh Bagharaz Ta’lim Wa Tarbiyat Tha). Arz Kiya Gaya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Lagta Hai Ki Aap Ko Husayn Se Ziyadah Hasan Mahboob Hai? To Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Yeh Wajah Nahin Balki Hasan Ne Husayn Se Pehle Maanga Tha. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Fatimah! Mein, Tum, Yeh Dono’n (Hasan Wa Husayn) Aur Yeh Sone Waala (Ya’ni Ali) Qiyamat Ke Din Aik Hee Jagah Par Honge.”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/227, Raqam-3204,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/103, 104, Raqam-118.]