Fasl : 40
Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Mubaahalah Ke Waqt Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Apne Saath Le Gaye
132 “Hazrat Sha’biy رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Ahle Najraan Ke Saath Mubaahale Ka Iraadah Farmaya To Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Haath Pakad Kar Apne Saath Le Liya Aur Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Pichhe Pichhe Chal Rahi Thi’n.”
–
[1-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/389, Raqam-36184,
2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/426, Raqam-37014,
3-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 08/94, Raqam-4119,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/116, Raqam-132.]
133 “Ibn Zayd Se Riwayat Hai Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Puchha Gaya Ki Agar Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Isaa’i Qaum Ke Saath Mubaahala Ho Jaata To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Apne Qaul ‘Hamaare Bete Aur Tumhaare Bete’ Ke Misdaaq Kin Ko Apne Saath Laate. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Ko.”
–
[Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 03/301,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/116, 117, Raqam-133.]
134 “’Ilba’ Bin Ahmar Yashkuri Se Riwayat Hai Ki Jab Yeh Aayat….. Aye Habib Farma Dijiye! Aao Bulaate Hain Hum Apne Beto’n Ko Aur Tum Apne Beto’n Ko Aur Hum Apni Aurto’n Ko Aur Tum Apni Aurto’n Ko ….Naazil Huwi To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Ali, Sayyidah Fatimah Aur Un Ke Beto’n Hasan Wa Husayn سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ Ko Bula Bheja.”
–
[1-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 13/301,
2-Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 02/233,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/117, Raqam-134.]
135 “Hazrat Jabir Bin Abd Allah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marwi Hai Ki Najraan Ka Aik Wafd Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas Aaya Aur Puchha Ki Aap Kee Hazrat Isaa Bin Maryam Ke Baare Me Kya Raae Hai? To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Woh Roohullah, Kalimatullah, Allah Ke Bande Aur Us Ke Rasool Hain. Us Wafd Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Kaha : Kya Aap Hamaare Saath Mubaahala Karte Hain Ki Isaa عَلَيْهِ السَّلَام Aise Na They? To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Tum Yahi Chaahte Ho? Unhone Kaha : Haa’n. To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jaise Tumhari Marzi. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ghar Tashrif Laaye Aur Apne Beto’n Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Saath Le Jaane Ke Liye Jam’a Kiya.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak,02/649, Raqam-4157,
2-Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor,02/231,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/117, 118, Raqam-135.]
۞ ۞ ۞