Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Farmana : Yeh Dono’n Kaise Achchhe Sawaar Hain

Fasl : 29

Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Farmana : Yeh Dono’n Kaise Achchhe Sawaar Hain

 

98              “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain : Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hamaare Paas Tashrif Laa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Aik Kandhe Par Hasan  عَلَيْهِ السَّلَام Aur Doosre Kandhe Par Husayn  عَلَيْهِ السَّلَام Sawaar They.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/400, Raqam-9671,

2-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/182, Raqam-4777,

Hakim Is Ko Naqal Karne Ke Baa’d Kehte Hain Ki Is Riwayat Kee Isnaad Sahih Hain.

3-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/777, Raqam-1376,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/179,

5-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/228,

6-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/71,

7-Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 06/32,

Haythami Ne Is Ke Ruwaat Ko Thiqah Qaraar Diya Hai.

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/86, Raqam-98.]

 

 

99              “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Mein Ne Hasan Wa Husain عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Kandho’n Par (Sawaar) Dekha To Hasrat Bhare Lehje Me Kaha Ki Aap Ke Neeche Kitni Achchhi Sawaari Hai! Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Jawaaban Irshaad Farmaya : Zara Yeh Bhi To Dekho Ki Sawaar Kitne Achchhe Hain.”

[1-Bazzar Fi Al-Musnad, 01/418,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,

Haythami Ne Aboo Ya’la Kee Bayan Kardah Riwayat Ko Ssahih Qaraar Diya Hai.

3-Husayni Fi Al-Bayan Wa’t-Ta’rif, 02/263, Raqam-1672,

4-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/308,

5-Ibn ‘Adi Fi Al-Kamil Fi Du’afa’-ir-Rijal, 02/362,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/86, 87, Raqam-99.]

 

 

100            “Hazrat Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Hum Huzoore Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas They. Ummi Ayman Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Haazir Huwi’n Aur Arz Kiya Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Gum Ho Ga’e Hain Raawi Kehte Hain, Din Khoob Nikla Huwa Tha Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Chalo Mere Beto’n Ko Talaash Karo, Raawi Kehta Hai Har Aik Ne Apna Raasta Liya Aur Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Chal Pada Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Musalsal Chalte Rahe Hatta Ki Pahaad Ke Daaman Tak Pahunch Ga’e. (Dekha Ki) Hasan Aur Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Aik Doosre Ke Saath Chimte Hu’e Khade Hain Aur Aik Azdaha Apni Dum Par Khada Hai Aur Us Ke Moonh Se Aag Ke Sho’le Nikal Rahe Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Us Kee Taraf Tezi Se Badhe To Woh Azdaha Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Taraf Mutawajjih Ho Kar Sikud Gaya Phir Khisak Kar Paththro’n Me Chhup Gaya. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Un (Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام) Ke Paas Tashrif Laa’e Aur Dono’n Ko Alag-Alag Kiya Aur Un Ke Chehro’n Ko Paunchha Aur Farmaya : Mere Maa’n Baap Tum Par Qurbaan, Tum Allah Ke Haa’n Kitni Izzat Waale Ho Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Un Me Se Aik Ko Apne Daa’ein Kandhe Par Aur Doosre Ko Baa’ein Kandhe Par Utha Liya. Mein Ne Arz Kiya : Tumhaari Sawaari Kitni Khoob Hai? Huzoore Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Yeh Bhi To Dekho Ki Dono’n Sawaar Kitne Khoob Hain.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/65, Raqam-2677,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id,/09/182,

3-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/309,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/87, 88, Raqam-100.]
 

101            “Hazrat Aboo Ja’far رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Riwayat Karte Hain Ki Aik Martaba Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasanayn Karimayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Uthaaye Hu’e Ansaar Kee Aik Majlis Se Guzare To Unhone Kaha : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Kyaa Khoob Sawaari Hai! Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Sawaar Bhi Kya Khoob Hain.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/380, Raqam-32185,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/88, 89, Raqam-101.]

 

 

102            “Hazrat Jaabir Bin Abd Allah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Bayan Karte Hain Ki Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas Haazir Huwa To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Chaar-04 (Do Taango’n Aur Dono’n Haatho’n Ke Bal) Par Chal Rahe They Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Sawaar They Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Farma Rahe They : Tumhaara Oont Kya Khoob Hai Aur Tum Dono’n Kya Khoob Sawaar Ho.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/52, Raqam-2661,

2-Saydawi Fi Mu’jam Al-Shuyookh, 01/266, Raqam-227,

3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,

4-Ramahur Muzi Fi Amthal Al-Hadith,/128, Raqam-98,

5-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/256,

6-Qazwini Fi At-Tadwin Fi Akhbar Qazwin, 02/109,

7-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/132,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/89, Raqam-102.]

 

 

103            “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Aik Daf’a Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ke Ghar Ke Saamne Ruke To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Sayyidah Fatimat-uz-Zahra’ Ko Salam Kiya. Itne Me Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Me Se Aik Shahzadah Ghar Se Baahar Aa Gaya Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Un Se Farmaya : Apne Baap Ke Kandhe Par Sawaar Ho Jaa Too (Meri) Aankh Ka Taara Hai, Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Unhein Haath Se Pakda Pas Woh Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Doshe Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e. Phir Doosra Shahzadah Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Taraf Takta Huwa Baahar Aa Gaya To Use Bhi Farmaya : Khoosh Aamadid, Apne Baap Ke Kandhe Par Sawaar Ho Jaa Too (Meri) Aankh Ka Taara Hai Aur Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Use Apni Ungliyo’n Ke Saath Pakda Pas Woh Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Doosre Doshe Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/49, Raqam-2652,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/180,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/89, 90, Raqam-103.]