Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mere Maa’n Baap Aap Par Qurbaan

Fasl : 23

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mere Maa’n Baap Aap Par Qurbaan

 

84              “Hazrat Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain : Hum Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas They. Ummi Ayman Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas Aa’in Aur Arz Kiya : Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Gum Ho Ga’e Hain. Raawi Kehte Hain Din Khoob Nikla Huwa Tha. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Chalo Mere Beto’n Ko Talaash Karo, Raawi Kehta Hai Har Aik Ne Apna-Apna Raasta Liya Aur Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Chal Pada, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Musalsal Chalte Rahe Hatta Ki Pahaad Ke Daaman Tak Pahunch Ga’e (Dekha Ki) Hasan Aur Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Aik Doosre Ke Saath Chimte Hu’e Hain Aur Aik Azdaha Apni Dum Par Khada Hai Aur Us Ke Moonh Se Aag Ke Sho’le Nikal Rahe Hain. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Us Kee Taraf Tezi Se Badhe To Woh Azdaha Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Taraf Mutawajjih Ho Kar Sikud Gaya Phir Khisak Kar Paththro’n Me Chhup Gaya Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Paas Tashrif Laa’e Aur Dono’n Ko Alag-Alag Kiya Aur Un Ke Chehro’n Ko Paunchha Aur Farmaya : Mere Maa’n Baap Tum Par Qurbaan, Tum Allah Ke Haa’n Kitni Izzat Waale Ho.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/65, Raqam-2677,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,

3-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/309,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/73, 74, Raqam-84.]

 

 

85              “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Namaz Ada Kar Rahe They To Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Ho Ga’e. Logo’n Ne Un Ko Man’a Kiya To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : In Ko Chhod Do, In Par Mere Maa’n Baap Qurbaan Ho’n.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Raqam-2644,

2-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/426, Raqam-6970,

3-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32174,

4-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/552, Raqam-2233,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/74, Raqam-85.]