Fasl : 30
Huzoore Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Khaatir Sajdo’n Ko Lamba Kar Lete They
104 “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sajde Me Hote To Hasan Ya Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Aate Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Kamar Mubarak Par Sawaar Ho Jaate Jis Ke Baa’th Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Sajdo’n Ko Lamba Kar Lete. Aik Mauqa’ Par Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Arz Kiya Gaya : Aye Allah Ke Nabi صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ! Kya Aap Ne Sajdo’n Ko Lamba Kar Diya Hai To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mujh Par Mera Beta Sawaar Tha Is Liye (Sajde Se Uthne Me) Jaldi Karna Achchha Na Laga.”
–
[1-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 06/150, Raqam-3428,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/91, Raqam-104.]
105 “Abd Allah Bin Shaddad Apne Waalid Hazrat Shaddad Bin Haad رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ishaa’ Kee Namaaz Ada Karne Ke Liye Hamaare Paas Tashrif Laa’e Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Hasan Ya Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام (Mein Se Kisi Aik Shahzaade) Ko Uthaaye Hu’e They. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Tashrif Laa Kar Unhein Zameen Par Bitha Diya Phir Namaaz Ke Liye Takbir Farmayi Aur Namaaz Padhana Shuru’ Kar Dee, Namaz Ke Dauraan Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Taweel Sajdah Kiya. Shaddad Ne Kaha : Mein Ne Sar Uthaa Kar Dekha Ki Shahzaade Sajde Kee Haalat Me Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Pusht Mubarak Par Sawaar Hain. Mein Phir Sajde Me Chala Gaya. Jab Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Namaz Ada Farma Chuke To Logo’n Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Aap Ne Namaz Me Itna Sajda Taweel Kiya. Yaha’n Tak Ki Hum Ne Gumaan Kiya Ki Koi Amre Ilaahi Waaqe’ Ho Gaya Hai Ya Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Par Wah’iy Naazil Hone Lagi Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : Aisi Koi Baat Na Thi Magar Yeh Ki Mujh Par Mera Beta Sawaar Tha Is Liye (Sajde Se Uthne Me) Jaldi Karna Achchha Na Laga Jab Tak Ki Is Kee Khwaahish Poori Na Ho.”
–
[1-Nasa’i Fi As-Sunan, 02/229, Raqam-1141,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/493,
3-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/380, Raqam-32191,
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 07/270, Raqam-7107,
5-Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 02/188, Raqam-934,
6-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/263, Raqam-3236,
7-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/181, Raqam-4775,
8-Ibn Moosa Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 01/102,
9-Ibn Hazm Fi Al-Muhalla, 03/90,
10-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/299,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/91, 92, Raqam-105.]