Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Allah Ta’ala Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Kamaale Tat’hir Kee Shaane Azim Se Nawaaz Diya

Fasl : 13

Allah Ta’ala Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Kamaale Tat’hir Kee Shaane Azim Se Nawaaz Diya

 

51              “Hazrat Safiyyah Bint Shaybah Se Riwayat Hai Ki Umm-il-Mu’minin Hazrat Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Farmati Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Subah Ke Waqt Baahar Tashrif Laa’e Dar Haala’n Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Aik Chaadar Odhi Huwi Thi Jis Par Siyaah Oon Se Kajaao’n Ke Naqsh Bane Hu’e They. Hasan Bin Ali عَلَيْهِمَا السَلَام Aa’e To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya, Phir Husayn عَلَيْهِ السَّلَام Aa’e Aur Aap Ke Hamraah Chaadar Me Daakhil Ho Ga’e, Phir Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا  Aa’in, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Unhein Us Chaadar Me Daakhil Kar Liya. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Yeh Aayate Mubaraka Padhi : Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yahi Chaaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah) Kee Aaludgi Dur Kar De Aur Tum Ko Kamaal Darja-E-Tahaarat Se Nawaaz De.”

[1-Muslim Fi As-Sahih, 04/1883, Raqam-2424,

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/370, Raqam-36102,

3-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/672, Raqam-149,

4- Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 03/678, Raqam-1271,

5-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/159, Raqam-4705,

6-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/149,

7-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/06, 07,

8-Baghawi Fi Tafsir-ul-Baghawi Al-Musamma Ma’alim-ut-Tanzil, 03/529,

9-Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/485,

10-Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 06/605,

11-Mubarakfoori Fi Tuhfat-ul-Ahwadhi Bi-Sharh Jami’ At-Tirmidhi, 09/49,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/47, 48, Raqam-51.]

 

 

52              “Hazrat Ummi Salmah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Khabardaar ! Yeh Masjid Kisi Junubi Aur Haa’iza (Aurat) Ke Liye Halaal Nahin, Siwaaye RasoolAllah, Ali, Fatimah, Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمُ الصَّلوةُ والسَّلام Ke. In Barguzidah Hastiyo’n Ke Ilaawah Kisi Ke Liye Masjide Nabawi Me Aana Jaa’iz Nahin, Aagaah Ho Jaao! Mein Ne Tumhein Naam Bata Diye Hain Taa’n Ki Tum Gumrah Na Ho Jaao.”

[1-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/65, Raqam-13178, 13179,

2-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/101, Raqam-34183,

3-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/166,

4-Ibn Kathir Fi Fusool Min Al-Sirah, 01/273,

5-Suyooti Fi Khasa’is Al-Kubra Aw Kifayah At-Talib Al-Labib Fi Khasa’is Al-Habib, 02/424,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/48, Raqam-52.]

 

 

53              “Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Parwardah Umar Bin Abi Salamah Farmate Hain Ki Jab Ummi Salamah Ke Ghar Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Par Yeh Aayat “Aye Ahl-E-Bayt! Allah To Yahi Chaahta He Ki Tum Se (Har Tarah) Ki Aaludagi Dur Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De” Naazil Huwee To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Sayyidah Fatimah Aur Hasanayn Karimayn سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ Ko Bulaaya Aur Unhein Apni Aik Kamli Me Dhaanp Liya. Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Peechhe They, Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Unhein Bhi Kamli Me Dhaanp Liya, Phir Farmaya : “Aye Allah! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain, Pas In Se Har Kism Ki Aaludagi Dur Farma Aur Inhein Khoob Paak-o-Saaf Kar De.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi,  05/351, Raqam-3205,

2-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/08,

3-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 02/17,

4-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/21,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam, /49, Raqam-53.]

 

 

54              “Hazrat Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan, Husayn, Ali  Aur Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهِمْ Par Chaadar Phailaayi Aur Farmaya : Aye Allah! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Aur Muqarrab Hain, In Se Har Qism Kee Aaloodagi Dur Farma Aur Inhein Achchhi Tarah Paakizgi Wa Tahaarat Se Nawaaz De.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/699, Raqam-3871,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/304, Raqam-26639,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/54, Raqam-2668,

4-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/08,

5-Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/485,

6-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/297,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/49, 50, Raqam-54.]