Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام ….. Saraapa Shabihe Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ They

Fasl : 10

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام ….. Saraapa Shabihe Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ They

 

33              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Hasan Seena Se Sar Tak Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Kaamil Shabih They Aur Hazrat Husayn Seena Se Neeche Tak Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Kaamil Shabih They.”

[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/660, Raqam-5779,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/99, Raqam-774,

3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/430, Raqam-6974,

4-Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/91, Raqam-130,

5-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/774, Raqam-1366,

6-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/394, Raqam-780, 781,

7-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/553, Raqam-2235,

8-Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/763,

9-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/250,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/36, Raqam-33.]

 

 

34              “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain : Jis Shakhs Kee Yeh Khwaahish Ho Ki Woh Logo’n Me Aisi Hasti Ko Dekhe Jo Gardan Se Chehre Tak Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Sab Se Kaamil Shabih Ho To Woh Hazrat Hasan Bin Ali Ko Dekh Le Aur Jis Shakhs Kee Yeh Khwaahish Ho Ki Woh Logo’n Me Aisi Hasti Ko Dekhe Jo Gardan Se Takhne Tak Rangat Aur Soorat Dono’n Me Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Sab Se Kaamil Shabih Ho To Woh Hazrat Husayn Bin Ali Ko Dekh Le.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/95, Raqam-2768, 2759,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/36, 37, Raqam-34.]

 

 

35              “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Hasan Wa Husayn  عَلَيْهِمَا السَلَام Dono’n Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Saath Sab Se Ziyadah Mushaabahat Rakhte They.”

[Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/77, Raqam-1726,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/37, Raqam-35.]

 

 

36              “Muhammad Bin Dahhak Hizami Riwayat Karte Hain Ki Hasan Bin Ali عَلَيْهِمَا السَلَام Ka Chehrah Mubarak Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Chehra-E-Aqdas Kee Shabih Tha Aur Husayn عَلَيْهِ السَّلَام Ka Jism Mubarak Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Jisme Aqdas Kee Shabih Tha.”

[Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/127,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/37, Raqam-36.]