Fasl : 12
Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Tamam Jannati Jawano’n Ke Sardaar Hain Sallam
41 “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Jannati Jawaano’n Ke Sardaar Hain.”
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 05/656, Raqam-3768,
2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/50, Raqam-8169,
3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/412, Raqam-6959,
4-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/03, Raqam-11012,
5-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32176,
6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/347, Raqam-2190,
7-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awat, 06/10, Raqam-5644,
8-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/182, Raqam-4778,
9-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/551, Raqam-2228,
10-Haythami Ne’ Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id(09/201), Me Is Ke Ruwaat Ko Sahih Qaraar Diya Hai.
11-Suyooti Fi Ad-Durr-ul-Manthoor Fi At-Tafsiri Bi-Al-Ma’thoor, 05/489,
12-Nasa’i Fi Khsa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Bin Abi Talib كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم, 01/142, Raqam-129,
13-Hakami Fi Ma’arij-ul-Qabool Bi-Sharh Sullam Al-Wusool Ila ‘Ilm Al-Usool Fi At-Tawhid, 03/1200,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/41, Raqam-41.]
42 “Hazrat Hudhayfah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Meri Waalidah Ne Mujh Se Puchha Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Haaziri Ka Ma’mool Kya Hai. Mein Ne Kaha Ki Itne Dino’n Se Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Haazir Nahin Ho Saka. Woh Mujh Se Naaraaz Huwin. Mein Ne Kaha Ki Mujhe Ijaazat Dijiye Ki Mein Abhi Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Haazir Howu’n, Un Ke Saath Maghrib Kee Namaz Padhunga Aur Un Se Arz Karunga Ki Mere Aur Aap Ke Liye Maghfirat Kee Duaa Farmaein. Pas Mein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Huwa Aur Un Ke Saath Maghrib Kee Namaz Padhi. Phir Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Nawaafil Ada Farmaate Rahe Yaha’n Tak Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Isaa’ Kee Namaaz Ada Farmaayi Phir Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ghar Kee Taraf Rawaana Hu’e To Mein Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Pichhe Chalne Laga. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Meri Aawaaz Suni To Farmaya Yeh Koun Hai? Hudhayfah! Mein Ne Arz Kiya : Ji Haa’n. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Puchha Tumhari Kya Haajat Hai? Allah Ta’ala Tumhein Aur Tumhaari Maa’n Ko Bakhsh De Phir Farmaya : Yeh Aik Firishta Hai Jo Is Se Pehle Dunya Me Kabhi Nahin Utara. Is Ne Apne Rabb Se Ijaazat Chaahi Ki Mujh Par Salaam Arz Kare Aur Mujhe Bashaarat De Ki Fatimah Jannati Aurto’n Kee Sardaar Hain Aur Hasan Aur Husayn Jannat Ke Jawano’n Ke Sardaar Hain.”
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/660, Raqam-3781,
2-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/413, Raqam-6960,
3-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/80, Raqam-8298,
4-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/391, Raqam-23377,
5-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32177,
6-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/37, Raqam-2606,
7-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/439, Raqam-5630,
8-Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/551, Raqam-2229,
9-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/183,
10-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 02/560,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/42, 43, Raqam-42.]
43 “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Tamam Jawanane Jannat Ke Sardaar Hain.”
–
[1-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32179,
2-Bazzar Fi Al-Musnad, 03/102, Raqam-885,
3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/36, Raqam-3601,
4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/43, Raqam-43.]
44 “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna Ki Hum Abd-ul-Muttalib Kee Awlaad Ahle Jannat Ke Sardaar Hain Jin Me Mein Hamzah, Ali, Ja’far, Hasan, Husayn, Aur Mahdi Shaamil Hain.”
–
[1-Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1368, Raqam-4087,
2-Hakim Fi Al-Mustadrak , 03/233, Raqam-4940,
3-Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 02/290, Raqam-177,
4-Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 04/204, Raqam-1452,
5-Daylami Fi Al-Firdaws, 01/53, Raqam-142,
6-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 07/283, Raqam-544,
7-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 05/53,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/43, 44, Raqam-44.]
45 “Hazrat Umar Bin Khattab رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Tamam Jawanane Jannat Ke Sardaar Hain.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/35, Raqam-2598,
Tabarani Ne ‘Al-Mu’jam-ul-Awsat(05/243, Raqam-5208)’ Me Hazrat Usamah Bin Zayd Se Marwi Hadith Bhi Bayan Kee Hai.
2-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 13/132,
3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/182,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/44, Raqam-45.]
46 “Hazrat Abd Allah Bin Umar رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Tamam Jannati Jawano’n Ke Sardar Hain.”
–
[1-Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Raqam-118,
2-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/182, Raqam-4780,
3-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/133,
4-Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/20, Raqam-48,
5-Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 06/474,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/44, 45, Raqam-46.]
47 “Hazrat Husayn Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Apne Naana Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Hasan Aur Husayn Ko Gaali Mat Dena Kyun Ki Woh Pehli Aur Pichhli Tamam Ummato’n Ke Jannati Jawano’n Ke Sardaar Hain.”
–
[1-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/131,
2-Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id(09/184), Me Ise Mukhtasaran Riwayat Kiya Hai.
3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/118, Raqam-366,
4-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/301,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/45, Raqam-47.]
48 “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn Tamam Jawanaane Jannat Ke Sarddar Hain.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/182, Raqam-4779,
2-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/58,
3-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/133,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/45, 46, Raqam-48.]
49 “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aasmaan Ke Aik Firishte Ne (Is Se Pehle) Meri Ziyaarat Kabhi Nahin Kee Thi, Us Ne Meri Ziyaarat Ke Liye Allah Ta’ala Se Ijaazat Talab Kee Aur Mujhe Yeh KhooshKhabari Sunaayi Ki Hasan Aur Husayn Tamam Jannati Jawaano’n Ke Sardaar Hain.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/36, Raqam-2604,
2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/146, Raqam-8515,
3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/183,
4-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 26/391,
5-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 02/167,
6-Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 06/369,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/46, Raqam-49.]
50 “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : Tumhaare Jawaano’n Me Se Sab Se Behtar (Jawaan) Hasan Aur Husayn Hain.”
–
[1-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 04/391, Raqam-2280,
2-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 12/102, Raqam-34191,
3-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/167,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/46, Raqam-50.]