Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام ….. Waarithaane Awsaafe Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ

Fasl : 11

Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام ….. Waarithaane Awsaafe Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ

 

37              “Sayyidah Fatimah صَلَوَاتُ اللهِ عَلَيْهَا Se Riwayat Hai Ki Woh Apne Baaba Huzoor Rasoole Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Marad-ul-Wisaaal Ke Dauraan Hasan Aur Husayn Ko Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Paas Laa’in Aur Arz Kiya : Ya RasoolAllah! Inhein Apni Wiraathat Me Se Kuchh Ata’ Farmaein. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : Hasan Meri Haybat Wa Sardaari Ka Waarith Hai Aur Husayn Meri Jur’at Wa Sakhaawat Ka.”

[1-Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 01/299, Raqam-408,

2-Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/370, Raqam-2971,

3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/423, Raqam-1041,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/185,

5-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/310,

6-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/129,

7-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 02/560,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/38, Raqam-37.]

 

 

38              “Hazrat Ummi Ayman رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Farmati Hain Ki Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Saath Le Kar Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Haazir Huwi’n Aur Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! In Dono’n Beto’n Hasan Wa Husayn Ko Kuchh Ata Farmaein. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Mein Ne Is Bade Bete (Hasan) Ko Haybat Wa Burdbaari Ata Kee Aur Chhote Bete (Husayn) Ko Muhabbat Aur Riza Ata Kee.”

[1-Daylami Fi Al-Firdaws Bi-Mathoor Al-Khitab, 04/280, Raqam-6829,

2-Hindi Fi Kanz-ul-‘Ummal, 13/760, Raqam-37710,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/39, Raqam-38.]

 

 

39              “Hazrat Zaynab Bint Abi Rafi’ Se Riwayat Hai Ki Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Marad-ul-Wisaal Ke Dauraan Apne Dono’n Beto’n Ko Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmate Aqas Me Laa’in Aur Arz Kiya : Yeh Aap Ke Bete Hain, Inhein Apni Wiraathat Me Se Kuchh Ata Farmaein. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Ke Liye Meri Haybat Wa Sardaari Kee Wiraathat Hai Aur Husayn Ke Liye Meri Jur’at Wa Sakhaawat Kee Wiraathat.”

[1-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/299, Raqam-615,

2-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 07/674, Raqam-1232,

3-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/400,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/39, 40, Raqam-39.]

 

 

40              “Hazrat Aboo Rafi’ رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain : Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ke Marad-ul-Wisaal Me Apne Dono’n Beto’n Ko Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmate Aqdas Me Laa’in Aur Arz Pardaaz Huwi’n : Yeh Aap Ke Bete Hain Inhein Kuchh Wiraathat Me Ata Farmaaein. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Ke Liye Meri Thaabit Qadami Aur Sardaari Kee Wiraathat Hai Aur Husayn Ke Liye Merei Taaqat Wa Sakhaawat Kee Wiraathat.”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/222,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/185,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/40, Raqam-40.]