Fasl : 18
Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Allah Mein In Dono’n Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhabbat Kar
67 “Hazrat Bara’ Bin Aazib رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Taraf Dekh Kar Farmaya : Aye Allah!
Mein In Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhabbat Kar.”
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahi, 05/661, Raqam-3782,
2-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/252,
3-Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-Akhbar, 06/140,
Tirmidhi Ne Is Hadith Ko Hasan Sahih Qarar Diya Hai.
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/59, Raqam-67.]
68 “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Aye Allah! Mein In Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhabbat Kar.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/446, Raqam-9758,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/775, Raqam-1371,
3-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32175,
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/49, Raqam-6951,
5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/180,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/59, 60, Raqam-68.]
69 “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Baare Me Farmaya : Aye Allah! Mein In Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhabbat Kar.”
–
[1-Bazzar Fi Al-Musnad, 05/217, Raqam-1820,
2-Bazzar Ne ‘Al-Musnad (08/253, Raqam-3317), Me Ise Ibn Qurrah Se Bhi Riwayat Kiya Hai.
3-Haythami Ne ‘Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id(09/180), Me Bazzar Kee Bayan Kardah Dono’n Riwayat Naqal Kee Hain.
4-Shawkani Ne Bhi ‘Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah(Safha-305, 306), Me Bazzar Kee Bayan Kardah Dono’n Riwayat Naqal Kee Hain.
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/60, Raqam-69.]
70 “Hazrat Usamah Bin Zayd رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Duaa Farmayi : Aye Allah! Mein In Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhabbat Kar Aur In Se Muhabbat Karne Waalo’n Se Bhi Muhabbat Kar.”
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/656, Raqam-3769,
2-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/423, Raqam-6967,
3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/39, Raqam-2618,
4-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 04/113, Raqam-1324,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/60, 61, Raqam-70.]
71 “Abd Allah Bin Uthman Khashim Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Riwayat Karte Hain Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Aik Din Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Pakad Kar Apni Raano’n Par Bithaaya Phir Hasan عَلَيْهِ السَّلَام Kee Taraf Mutawajjih Hu’e Aur Unhein Bosa Diya Phir Husayn عَلَيْهِ السَّلَام Kee Taraf Mutawajjih Hu’e Aur Unhein Bosa Diya, Phir Farmaya : Aye Allah! Mein In Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhabbat Kar.”
–
[Ibn Rashid Fi Al-Jami’, 11/140,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/61, Raqam-71.]
72 “Ya’la Bin Murrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Taraf Chal Kar Aa’e, Pas Un Me Se Jab Aik Pahuncha To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Apna Baazoo Us Ke Gale Me Daala, Phir Doosra Pohuncha To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Apna Doosra Baazoo Us Ke Gale Me Daala, Baa’d Azaa’n Aik Ko Chooma Aur Phir Doosre Ko Chooma Aur Farmaya : Aye Allah! Mein In Se Muhabbat Karta Hoo’n Too Bhi In Se Muhhabat Kar.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/32, Raqam-2587,
2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir,22/274, Raqam-703,
3-Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/50, Raqam-26,
4-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/255,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/61, 62, Raqam-72.]
73 “Hazrat Anas Bin Malik رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Farmate Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Se Arz Kiya : Aap Ko Ahl-E-Bayt Me Se Sab Se Ziyadah Koun Mahboob Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Hasan Aur Husayn.”
–
[1-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/657, Raqam-3772,
2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 07/274, Raqam-4294,
3-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/301,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/62, Raqam-73.]