Posted in Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jo Mujh Se Muhabbat Karta Hai Us Par In Dono’n Se Muhabbat Karna Waajib Hai

Fasl : 14

Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jo Mujh Se Muhabbat Karta Hai Us Par In Dono’n Se Muhabbat Karna Waajib Hai

 

55              “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jis Ne Mujh Se Muhabbat Kee, Us Par Laazim Hai Ki Woh In Dono’n Se Bhi Muhabbat Kare.”

[1-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/50, Raqam-8170,

2-Nasa’i Fi Fada’il-us-Sahabah, 01/20, Raqam-67,

3-Ibn Khuzaymah Fi As-Sahih, 02/48, Raqam-887,

4-Bazzar Fi Al-Musnad, 05/226, Raqam-1834,

5-Shashi Fi Al-Musnad, 02/113, Raqam-638,

6-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/250, Raqam-5368,

7-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/179,

8-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 02/17,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/51, Raqam-55.]

 

 

56              “Hazrat Abd Allah Bin Abbas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Farmate Hain Ki Jab Aayate Mubaraka “Farma De’n Mein Tum Se (Is Tablighe Haque Aur Khair Khaahi) Ka Kuchh Silah Nahin Chaahta Bajuz Ahle Qaraabat Se Muhabbat Ke” Naazil Huwi To Sahaba-E-Kiram رِضْوَانُ اللهِ تَعَالىٰ عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ Ne Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Aap Ke Woh Koun Se Qaraabat Daar Hain Jin Kee Muhabbat Hum Par Waajib Hai? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Ali, Fatimah Aur Un Ke Dono’n Bete (Hasan Wa Husayn).”

[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Raqam-2641,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 11/444, Raqam-12259,

3-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 07/103,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/51, 52, Raqam-56.]

 

 

57              “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Muta’alliq Farmate Hu’e Suna : Jo Mujh Se Muhabbat Karta Hai Us Par In Dono’n Se Muhabbat Karna Waajib Hai.”

[1-Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/327, Raqam-2052,

2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/180,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/52, Raqam-57.]

 

 

58              “Hazrat Zirr Bin Jaysh رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jo Mujh Se Muhabbat Rakhta Hai Us Par In Dono’n Se Muhabbat Rakhna Waajib Hai.”

[1-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/378, Raqam-32174,

2-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 02/263, Raqam-3237,

Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/52, Raqam-58.]