Fasl : 20
Jis Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Bughz Rakkha Woh Allah Ke Haa’n Mabghooz Ho Gaya
77 “Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mien Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Jis Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Bughz Rakkha Us Ne Mujh Se Bughz Rakkha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakkha Woh Allah Ke Haa’n Mabghooz Ho Gaya Aur Jo Allah Ke Haa’n Mabghooz Huwa, Use Allah Ne Aage Me Daakhil Kar Diya.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/181, Raqam-4776,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/65, Raqam-77.]
78 “Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Baare Me Farmaya : Jis Ne In Se Bughz Rakkha Ya In Se Baghaawat Kee Woh Mere Haa’n Mabghooz Ho Gaya Aur Jo Mere Haa’n Mabghooz Ho Gaya Woh Allah Ke Ghazab Ka Shikaar Ho Gaya Aur Jo Allah Ke Haa’n Ghazab Yaafta Ho Gaya To Allah Ta’ala Use Jahannam Ke Azaab Me Daakhil Karega (Jaha’n) Us Ke Liye Hamesha Ka Thikaana Hoga.” –
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/50, Raqam-2655,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,
3-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/307,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/65, 66, Raqam-78.]