Fasl : 16
Jis Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Muhabbat Kee Us Ne Allah Se Muhabbat Kee
62 “Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna : Hasan Aur Husayn Mere Bete Hain Jis Ne Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Muhabbat Kee, Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Muhabbat Kee Us Se Allah Ne Muhabbat Kee Aur Jis Se Allah Ne Muhabbat Kee Allah Ne Use Jannat Me Daakhil Kar Diya.”
–
[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/181, Raqam-4776,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/56, Raqam-62.]
63 “Hazrat Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Liye Farmaya : Jis Ne In Se Muhabbat Kee Us Se Mein Ne Muhabbat Kee, Aur Jis Se Mein Muhabbat Karu’n Us Se Allah Muhabbat Karat Hai, Aur Jis Ko Allah Mehboob Rakhta Hai Use Ni’mato’n Waali Jannaton Me Daakhil Karta Hai.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/50, Raqam-2655,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/181,
3-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/307,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/56, Raqam-63.]