Fasl : 15
Jis Ne Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Muhabbat Kee Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee
59 “Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Jis Ne Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Se Muhabbat Kee, Us Ne Dar-Haqiqat Mujh Hee Se Muhabbat Kee.”
–
[1-Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/51, Raqam-143,
2-Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/49, Raqam-8168,
3-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/288, Raqam-7863,
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/102, Raqam-4795,
5-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/47, Raqam-2645,
6-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/78, Raqam-2615,
7-Ibn Rahwayh Fi Al-Musnad, 01/248, Raqam-211,
8-Nasa’i Fi Fada’il-us-Sahabah, 01/20, Raqam-65,
9-Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/21, Raqam-52,
10-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 01/141,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/53, Raqam-59.]
60 “Hazrat Abd Allah Bin Mas’ood رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُمَا Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ke Liye Farmaya : Jis Ne In Dono’n Se Muhabbat Kee Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee.”
–
[1-Bazzar Fi Al-Musnad, 05/217, Raqam-1820,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/180,
3-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/254, 284,
4-Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/763,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/53, 54, Raqam-60.]
61 “Aboo Hazim Bayan Karte Hain : Mein Hasan عَلَيْهِ السَّلَام Kee Shahadat Ke Waqt Husayn عَلَيْهِ السَّلَام Ke Paas Haazir Tha Woh Sa’iyd Bin Aboo Al-Aas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Ko Gardan Se Pakad Kar Aage Karte Hu’e Keh Rahe They : (Namaze Janazah Padhaane Ke Liye) Aage Badho, Agar Sunnate Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Na Hoti To Mein Aap Ko Aage Na Karta, Aur Sa’iyd Un Dino’n Madinah Ke Amir They. Jab Sab Ne Namaze Janazah Ada Kar Lee To Hazrat Aboo Hurayrah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Khade Hu’e, Unhone Farmaya : Tum Kis Dil Se Apne Nabi Ke Saahibzaade Ko Zameen Me Dafna Kar Un Par Mitti Daaloge Aur Saath Unhone (Gham Me Doob Kar) Yeh Bhi Kaha Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ko Farmate Hu’e Suna Hai : Jis Ne In Se Muhabbat Kee Us Ne Dar-Haqiqat Mujh Hee Se Muhabbat Kee.”
–
[1-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 03/71, Raqam-6369,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/531,
3-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/187, Raqam-4799,
4-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 04/28, Raqam-6685,
5-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/276,
6-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Tahdhib-ut-Tahdhib, 02/260,
7-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/254,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/54, 55, Raqam-61.]