Fasl : 04
Hasanayn Karimayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ahl-E-Bayt Hain
13 “Ummi Salamah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Aur Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Ko Jam’a Farma Kar Un Ko Apni Chaadar Me Le Liya Aur Farmaya : Aye Allah ! Yeh Mere Ahl-E-Bayt Hain.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/53, Raqam-2663,
2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 23/308, Raqam-696,
3-Ibn Moosa Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/266,
4-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/158, Raqam-4705,
5-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/08,
6-Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 03/486,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/21, Raqam-13.]
14 “Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayan Karte Hain Ki Jab Aayate Mubaahalah “Aap Farma De’n Aawo Hum Apne Beto’n Ko Bulaate Hain Aur Tum Apne Beto’n Ko Bulaao” Naazil Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatimah, Hazrat Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمُ السَلَام Ko Bulaaya, Phir Farmaya : Ya Allah ! Yeh Mere Ahl(-E-Bayt) Hain.”
–
[1-Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-2404,
2-Tirmidhi Fi Al-Jami’ As-Sahih, 05/225, Raqam-2999,
3-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1208,
4-Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/163, Raqam-4719,
5-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 07/63, Raqam-13170,
6-Dawrqi Fi Al-Musnad Sa’d, 01/51, Raqam-19,
7-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/25,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/21, 22,, Raqam-14.]
15 “Hazrat Aboo Sa’iyd Khudri رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Allah Ta’ala Ke Is Farman “Aye Nabi Ke Ghar Waalo’n! Allah Chaahta Hai Ki Tum Se (Har Tarah Kee) Aaloodagi Door Kar De Aur Tum Ko Khoob Paak-o-Saaf Kar De” Ke Baare Me Farmate Hain : Yeh Aayate Mubaraka In Paanch-05 Hastiyo’n Ke Baare Me Naazil Huwi : Huzoor Nabiyye Akram, Ali, Fatimah, Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمُ الصَّلوٰةُ وَالسَّﻻَم.”
Faa’idah : Inhin Paanch-05 Hastiyo’n Kee Mutadhakkarah Takhsis Ke Baa’ith Aammat-ul-Muslimin Me “Panjtan” Kee Istilaah Mash’hoor Hai. Jo Shar’an Durust Hai Is Me Koi Mubaalaghah Ya I’tiqaadi Ghuloo Hargiz Nahin.
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/80, Raqam-3456,
2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/23, Raqam-325,
3-Ibn Hayyan Fi Tabaqat-ul-Muhaddithin Bi-Asbahan, 03/384,
4-Khatib Al-Baghdadi Fi Tarikh Baghdad, 10/278,
5-Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 22/06,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/22, 23, Raqam-15.]