Fasl : 01
Huzoor صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ka Apne Shahzado’n Ka Naam Hasan Wa Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Rakhna
01 “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Bayan Farmate Hain Ki Jab Hazrat Hasan Paida Hu’e To Unhone Un Ka Naam Hamzah Rakkha Aur Jab Hazrat Husain Paida Hu’e To Un Ka Naam Un Ke Chacha Ke Naam Par Ja’far Rakkha. (Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Farmate Hain) Mujhe Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Bula Kar Farmaya : Mujhe Un Ke Yeh Naam Tabdeel Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai. (Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Farmate Hain) Mein Ne Arz Kiya : Allah Aur Us Ka Rasool Behtar Jaante Hain. Pas Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Un Ke Naam Hasan Wa Husayn Rakkhe.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/159,
2-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 01/384, Raqam-498,
3-Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/308, Raqam-7734,
4-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/352, Raqam-734,
5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/52,
6-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 07/116,
7-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/399, Raqam-247,
8-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/399, Raqam-1323,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/13, Raqam-01.]
02 “Hazrat Salman Farsi رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshad Farmaya : Mein Ne In Dono’n Ya’ni Hasan Aur Husayn Ke Naam Haroon (عَلَيْهِ السَّلَام) Ke Beto’n Shabbar Shabbir Ke Naam Par Rakkhe Hain.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/263, Raqam-6168,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/52,
3-Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/339, Raqam-3533,
4-Ibn Hajar Makki Fi As-Sawa’iq Al-Muhriqah ‘Ala Ahl Al-Rafd Wa Al-Dalal Wa Al-Zandaqah, 02/563,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/14, Raqam-02.]
03 “Hazrat Saalim رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Irshaad Farmaya : Mein Ne Apne In Dono’n Beto’n Hasan Aur Husayn Ke Naam Haroon (عَلَيْهِ السَّلَام) Ke Beto’n Shabbar Aur Shabbir Ke Naam Par Rakkhe Hain.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/774, Raqam-1367,
2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/379, Raqam-32185,
3-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/97, Raqam-2777,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/14, Raqam-03.]
04 “Hazrat Akramah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwayat Hai Ki Jab Sayyidah Fatimah سَلاَمُ الله عَلَيْهَا Ke Haa’n Hasan Bin Ali عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Wilaadat Huwi To Woh Unhein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Khidmat Me Laai’n, Lihaaza Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Un Ka Naam Hasan Rakkha Aur Jab Husayn عَلَيْهِ السَّلَام Kee Wilaadat Huwi To Unhein Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Kee Bargha Me Laa Kar Arz Kiya : Ya RasoolAllah صَلَّى اللهُ عَلَيْكَ وَسَلَّمَ! Yeh (Husayn) Is (Hasan) Se Ziyadah Khoobsoorat Hai Lihaaza Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Is Ke Naam Se Akhaz Kar Ke Us Ka Naam Husayn Rakkha”
–
[1-Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 04/335, Raqam-7981,
2-Ibn Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir, 14/119,
3-Dhahabi Fi Siyar A’lam-in-Nubala’, 03/48,
4-Mizzi Fi Tahdhib-ul-Kamal Fi Asma’-ir-Rijal, 06/224,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/14, 15, Raqam-04.]
05 “Hazrat Ja’far Bin Muhammad Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Husayn Ka Naam Hasan Se Akhaz Kiya Aur Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Dono’n Ke Naam Hasan Aur Husayn عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Paidaa’is Ke Saatwe’n Din Rakkhe.”
–
[1-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-‘Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba, 01/119,
2-Doolabi Fi Adh-Dhurriyat-ut-Tahirah, 01/85, Raqam-146,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/15, Raqam-05.]
06 “Hazrat Ali كَرَّمَ للهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Riwayat Karte Hain Ki Jab Fatimah Ke Haa’n Hazrat Hasan Kee Wilaadat Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mujhe Mera Beta Dikhaao, Us Ka Naam Kya Rakkha Hai ? Mein Ne Arz Kiya : Mein Ne Us Ka Nam Harb Rakkha Hai. Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Nahin Balki Woh Hasan Hai Phir Jab Husayn Kee Wilaadat Huwi To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mujhe Mera Beta Dikhaao Tum Ne Us Ka Naam Kya Rakkha Hai ? Mein Ne Arz Kiya : Mein Ne Usa Ka Naam Harb Rakkha Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya : Nahin Balki Woh Husayn Hai Phir Jab Teesra Beta Paida Huwa To Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Tashrif Laa’e Aur Farmaya : Mujhe Mera Beta Dikhaao, Tum Ne Us Ka Naam Kya Rakkha Hai ? Mein Ne Arz Kiya : Mein Ne Us Ka Naam Harb Rakkha Hai. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ Ne Farmaya Hai : Nahin Balki Us Ka Naam Muhsin Hai.
Phir Farmaya : Mein Ne Un Ke Naam Haro
on (عَلَيْهِ السَّلَام) Ke Beto’n Ke Shabbar, Shabbir Aur Mushabbir Ke Naam Par Rakkhe Hain.”
–
[1-Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/180, Raqam-4773,
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/118, Raqam-935,
3-Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/410, Raqam-6985,
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 03/96, Raqam-2773, 2774,
5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/52,
6-Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi Tamyiz-is-Sahabah, 06/243, Raqam-8296,
Asqalani Ne Is Kee Isnaad Ko Sahih Qaraar Diya Hai.
7-Bukhari Fi Al-Adab-ul-Mufrad, 01/286, Raqam-823,
Maraja-‘l-Bahrayn Fi Manaqibi-’l-Hasanayn ‘Alayhima As-Salam,/15,16, 17, Raqam-06.]