Hadith Number : 50
“Hazrat ‘Amr Bin ‘Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Un Se Kisi Shakhs Ne Puchha : Aye Amr! Hamare Buzurgo’n Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Baare Me Yeh Farmate Hu’e Suna Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai. Yeh Baat Durust Hai Ya Ghalat? Amr Ne Kaha : Durust Hai, Aur Mein Aap Ko Mazeed Bataaun Ki Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Me Se Kisi Ke Bhi Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Jaise Manaaqib Nahin Hain.”
–
[Ibn Qutaybah Ad-Dinwari Fi Al-Imamat Wa Al-Siyasat, 01/113.]