Hadith Number : 51
“(Khud) Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Din Aise Amama Se Meri Dastaarbandi Karwaayi Us Ka Shamla Pichhe Latka Diya Phir Farmaya : “Allah Ta’ala Ne Badr-o-Hunayn Me (Jin) Firishto’n Ke Zari’e Meri Madad Kee, Unhone Isi Heybat Ke Amaame Baandh Rakkhe They.” Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Be Shak Imamah Kufr Aur Iman Ke Darmiyan Farq Karne Waala Hai.”
–
[1-Tayalisi Fi Al-Musnad,/23, Raqam-154,
2-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 1/14,
3-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 15/306, 482, Raqam-41141, 41909,
Hisam-ud-Deen Hindi Ne Kaha Hai Ki Is Hadith Ko Tayalisi Ke Ilaawa Bayhaqi, Tabarani, Ibn Abi Shaybah Aur Ibn Muni’ Ne BhIi Riwayat Kiya Hai. Hisam-ud-Deen Hindi Ne “ان العمامة حاجزة بين المسلمين و المشركين” Ke Alfaz Ka Izaafa Kiya Hai.
‘Abd-ul-‘Ala Bin ‘Adi Se Bhi Yeh Riwayat Hai Ki Huzoore Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Ghadir Khum Ke Din ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Bulaaya Aur Un Kee Dastaarbandi Farmayi Aur Dastaar Ka Shamlah Pichhe Latka Diya. Yeh Hadith Darj Zayl Kutub Me Hai :
1-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 03/170,
2-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/194,
3-Zarqani Fi Sharh Al-Mawahib-ul-Ladunniyyah, 06/272.]