Hadith Number : 40
“Asbagh Bin Nubatah Se Riwayat Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Khule Maiydaan Me Logo’n Ko Qasam Dee Ki Jis Ne Ghadir Khum Ke Din Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Ho, Woh Khade Ho Jaa’e. Is Par Terah¹³ Se Zaa’id Afraad Khade Hu’e Jin Me Aboo Ayyub Ansari, Aboo Amrah Bin Muhsan, Aboo Zaynab, Sahl Bin Hunayf, Khuzaymah Bin Thaabit, ‘Abd Allah Bin Thabit Ansari, Hubshiy Bin Junadah Salooli, ‘Ubayd Bin ‘Aazib Ansari, Nu’man Bin Ajlaan Ansari, Thaabit Bin Wadi’ah Ansari, Aboo Fadalah Ansari Aur ‘Abd-ur-Rahman Bin ‘Abd Rabb Ansari They. In Sab Ne Kaha : Hum Gawaahi Dete Hain Ki Hum Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna : Logo’n! Aagaah Raho! Allah Mera Wali Hai Aur Mein Mominin Ka Wali Hoo’n, Khabardaar! (Aagaah Raho!) Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Jo Is Se Muhabbat Kare Too Us Se Muhabbat Kar, Jo Is Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh Aur Jo Is Kee Madad Kare Too Us Kee Madad Farma.”
–
[1-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 03/465,
2-Tahawi Fi Mushkil-il-Athar, 02/308,
3-Ibn Athir Ne “Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (02/362)” Me Ya’la Bin Murrah Se Ek Riwayat Bayan Kee Hai Jis Me Gawaaha’n Me Yazid Yaa Zayd Bin Sharahil Ka Bhi Zikr Hai, Jab Ki Ya’la Bin Murrah Se Hee Bayan Kardah Ek Aur Riwayat (03/137) Me ‘Aamir Bin Layla Ka Zikar Hai, Ek Aur Maqaam (05/282) Par Gawaha’n Me Najiyah Bin Amr Ka Zikar Bhi Kiya Gaya Hai.]