Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 41

Hadith Number : 41

“Zayd Bin Arqam RadiyAllau Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Gawaahi Talab Karte Hu’e Kaha Ki Mein Tumhein Qasam Deta Hoo’n Jis Ne Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : “Aye Allah! Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe Aur Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Pas Is (Mauqa) Par Solah-16 Aadmiyo’n Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/370,

2-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 05/171, Raqam-4985,

3-Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi Dhawi-‘l-Qurba,/125, 126,

4-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,

5-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/461,

6-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,

Haythami Ne Kaha Hai Ki Jinhone Is Waqe’a Ko Chhupaaya Un Kee Basaarat(Binaa’i) Chali Ga’i.]