Hadith Number : 42
“‘Umayr Bin Sa’d Se Riwayat Hai Ki Unhone Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Khule Maidaan Me Yeh Qasam Dete Hu’e Suna Ki Kis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai? To Atthaarah-18 Afraad Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee.”
–
[1-Haythami Ne “Majma’-uz-Zawa’id (09/108)” Me Yeh Hadith Bayan Karte Hu’e Kaha Ki Ise Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai Aur Us Kee Isnaad Hasan Hain.
2-Ibn ‘Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/158)” Me ‘Umayr Bin Sa’iyd RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Yeh Riwayat Lee Hai Jab Ki ‘Umayr Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Marwi Riwayat Me Hai Ki Gawaahi Dene Waale Afraad Barah¹² They.
3-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/171, 05/461)” Me ‘Umayr Bin Sa’d RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Jo Riwayat Lee Hai Us Me Hai Ki Gawaahi Dene Waale Barah¹² Aadami They Jin Me Hazrat Aboo Hurayrah, Aboo Sa’d Aur Anas Bin Malik RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Bhi Shaamil They.
4-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/154, 155, Raqam-36480,
5-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/211.]