Hadith Number : 43
“Aboo Tufayl Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Ko Ek Khuli Jagah (Rahbah) Me Jam’a Kiya, Phir Un Se Farmaya : Mein Har Musalman Se Allah Kee Qasam De Kar Puchhta Hoo’n Ki Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din (Mere Mut’alliq) Kuchh Farmate Hu’e Suna Hai Woh Khada Ho Jaa’e. Is Par Tees-30 Afraad Khade Hu’e Jab Ki Aboo Nu’aym Ne Kaha Ki Kathir Afraad Khade Hu’e Aur Unhone Gawaahi Dee Ki (Hamein Woh Waqt Yaad Hai) Jab Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Aap Ka Haath Pakad Kar Logo’n Se Farmaya : “Kya Tumhein Is Ka Ilm Hai Ki Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n?” Sab Ne Kaha : Ha’n, Ya RasoolAllah ﷺ! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe Aur Too Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kahte Hain Ki Jab Mein Waha’n Se Nikla To Mere Dil Me Kuchh Shak Tha. Usi Dauraan Mein Zayd Bin Arqam RadiyAlkahu Ta’ala Anhu Se Mila Aur Unhone Kaha Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Is Tarah Farmate Hu’e Suna Hai. (Is Par) Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Too Kaise Inkaar Karta Hai Jab Ki Mein Ne Khud Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Mut’alliq Aisa Hee Farmate Hu’e Suna Hai?”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Ne Al-Musnad (04/370)” Me Ise Sahih Sanad Ke Saath Riwayat Kiya Hai.
2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/682, Raqam-1167,
3-Bazzar Fi Al-Musnad, 02/133,
4-Ibn Hibban Kee “As-Sahih (15/376, Raqam-6931)” Me Bayan Karda Riwayat Kee Isanad Sahih Aur Rijaal Thiqah Hain.
5-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah, 603, Raqam-1366,
6-Hakim Ne “Al-Mustadrak (03/109, Raqam-4576)” Me Ise Shaykhayn Kee Shart Ke Mutabiq Sahih Qarar Diya Hai.
7-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/134,
8-Yeh Hadith Mukhtasar Alfaaz Se Tabarani Ne “Al-Mu’jam-ul-Kabir (05/195, Raqam-5071)” Me Riwayat Kee Hai.
9-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,
10-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45-156,
11-Ibn Athir Ne “Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (60246)” Me Gawaahi Dene Waale Afraad Kee Ta’daad Satrah-17 Zikr Kee Hai.
12-Ibn Kathir Ne “Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/171)” Me Likha Hai Ki Rahbah Se Muraad Koofa Kee Masjid Kee Khuli Jagah Hai.
13-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/460, 461,
14-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/104,
15-Aboo Mahasin Fi Al-Mu’tasar Min Al-Mukhtasar Min Mushkil Al-Athar,02/301,
16-Haythami Ne “As-Sawa’iq-ul-Muharriqah (Saf’h-122)” Me Likha Hai Ki Yeh Hadith Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Tees-30 Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Riwayat Kee Hai Aur Is Ke Turuq Kee Kathir Ta’daad Sahih Ya Hasan Ke Zayl Me Aati Hai.
17-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/209.]