Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 44

Hadith Number : 44

“Riyaah Bin Harth Se Riwayat Hai Ki Ek Wafd Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Kaha : Aye Hamaare Mawla! Aap Par Salaamati Ho. Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Kareem Ne Puchha : Mein Kaise Aap Ka Mawla Hoo’n Haala’n Ki Aap To Qoume Arab Hain (Kisi Ko Jaldi Qaa’id Nahin Maante). Unhone Kaha : Hum Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Ghadir Khum Ke Din Suna Hai : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Be Shak Us Ka Yeh (‘Ali) Mawla Hai.” Hazrat Riyaah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Kaha : Jab Woh Log Chale Ga’e To Mein Ne Un Se Jaa Kar Puchha Ki Woh Koun Log Hain? Unhone Kaha Ki Ansaar Ka Ek Wafd Hai, Un Me Hazrat Aboo Ayyub Ansari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bhi Hain.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/419,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/672, Raqam-967,

3-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/60, Raqam-12122,

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/173, 174, Raqam-4052, 4053,

5-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/103, 104,

6-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 02/169,

7-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/126,

8-Ibn ‘Asakir Ne Yeh Riwayat “Tarikh Dimashq Al-Kabir” Me Ziyaad Bin Harith (45/161), Hasan Bin Harith (45/162), Aur Riyah Bin Haarith (45/163) Se Lee Hai.

9-Ibn Athir Ne “Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah (01/672)” Me Zirr Bin Hubaysh Se Riwayat Kiya Hai Ki Barah¹² Sahaba-e-Kiram Ridwanullahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Apna Mawla Taslim Kiya, Jin Me Qays Bin Thaabit, Hishaam Bin ‘Utbah Aur Habib Bin Budayl RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhum Shaamil They.

10-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/172,

11-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/462,

Haythami Ne Is Riwayat Ke Rijaal Ko Shiqah Qarar Diya Hai.]