Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 48

Hadith Number : 48

“Yazid Bin ‘Umar Bin Mooriq Riwayat Karte Hain Ki Ek Mauqa’ Par Mein Shaam Me Tha Jab Hazrat ‘Umar Bin ‘Abd-ul-Aziz RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Logo’n Ko Nawaaz Rahe They. Pas Mein Un Ke Paas Aaya, Unhone Mujh Se Puchha Ki Aap Kis Qabile Se Hai n? Mein Ne Kaha : Quraysh Se. Unhone Puchha Ki Quraish Kee Kis (Shaakh) Se? Mein Ne Kaha : Bani Hashim Se. Unhone Puchha Ki Bani Hashim Ke Kis (Khandan) Se? Raawi Kahte Hain Ki Mein Khaamosh Raha. Unhone (Phir) Puchha Ki Bani Hashim Ke Kis (Khandan) Se? Mein Ne Kaha : Mawla ‘Ali (Ke Khandan Se). Unhone Puchha Ki ‘Ali Koun Hai? Mein Khaamosh Raha. Raawi Kahte Hain Ki Unhone Mere Seene Par Haath Rakkha Aur Kaha : BaKhuda! Mein ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Ghulam Hoo’n.” Aur Phir Kaha Ki Mujhe Be Shumaar Logo’n Ne Bayan Kiya Hai Ki Unhone Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.” Phir Mazaahim Se Puchha Ki Is Qabil Ke Logo’n Ko Kitna De Rahe Ho? To Us Ne Jawaab Diya : Sau-100 Ya Do Sau-200 Dirham. Is Par Unhone Kaha : ‘Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Qaraabat Kee Waj’h Se Use Pachaas-50 Dinar De Do, Aur Ibn Abi Dawud Ki Riwayat Ke Mutabiq Saath-60 Dinar Dene Ki Hidayat Kee, Aur (Un Se Mukhaatib Ho Kar) Farmaya : Aap Apne Shahr Tashrif Le Jaaein, Aap Ke Paas Aap Ke Qabila Ke Logo’n Ke Baraabar Hissah Pahunch Jaayega.”

[1-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/364,

2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 48/233,

3-Ibn ‘Asakir,Tarikh Dimashq Al-Kabir, 69/127,

4-Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 06/427, 428.]