Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 49

Hadith Number : 49

“Zuhri Se Riwayat Hai Ki Aboo Junaydah Junda’ Bin ‘Amr Bin Maazin Ne Kaha : Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna :  Jis Ne Mujh Par Jaan-Bujh Kar Jhooth Bola Woh Apna Thikaana Jahannum Me Banaaye. (Aur Yeh Farman) Mein Ne Khud Suna Hai Warna Mere Dono’n Kaan Bahre Ho Jaaein. Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Hijjat-ul-Wada’ Se Waapas Laute Aur Ghadir Khum Ke Maqaam Par Pahunche, Logo’n Ko Khitaab Farmaya : Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Thaam Kar Farmaya: Jis Ka Mein Wali Hoo’n Yeh (‘Ali) Us Ka Wali Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh. ‘Abd Allah Ne Kaha : Mein Ne Zuhri Se Kaha : Aisi Baatein Mulke Shaam Me Bayan Na Karna Warna Too Waha’n Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Mukhalifat Me Itni Baatein Sunega Ki Tere Kaan Bhar Jaaeinge. (Is Ke Jawab Me) Imam Zuhri Ne Farmaya: Khuda Kee Qasam! Hazrat ’Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Itne Faza’il Mere Paas Mehfooz Hain Ki Agar Mein Unhein Bayan Karoo’n To Mujhe Qatl Kar Diya Jaa’e.”

[Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah, 01/572, 573.]