Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 31

Hadith Number : 31

“Aboo Yazid Awdi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki (Ek Daf’a) Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Masjid Me Dakhil Hu’e To Log Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Ird-Gird Jama Ho Ga’e. Un Me Se Ek Jawaan Ne Khade Ho Kar Kaha : Mein Aap Ko Allah Kee Qasam Deta Hoo’n, Kya Aap Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai Ki Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo ‘Ali Ko Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh? Is Par Unhone Kaha : Mein Gawaahi Deta Hoo’n Ki Mein Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Hai : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Use Too Dost Rakkh Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Us Se Too Adaawat Rakkh.”

[1-Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 11/307, Raqam-6423,

2-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/68, Raqam-12141,

3-Ibn ‘Asakir, Tarikh Damishq Al-Kabir, 45/175,

4-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/105, 106,

6-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/174.]