Hadith Number : 34
“Aboo Tufayl Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Halfan Puchha Ki Tum Me Se Koun Hai Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Yeh Farmate Hu’e Suna Ho : “Kya Tum Nahin Jante Ki Mein Mominon Ki Jaano’n Se Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyoo’n Nahin. Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Bhi Use Dost Rakkh, Aur Jo Is Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh.” (Sayyidina ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Kee Is Guftagu Par) Baarah-12 Aadami Khade Hu’e Aur Unhone Is Waqe’a Kee Shahadat Dee.”
–
[1-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/576, Raqam-1987,
2-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/106,
3-Ibn ‘Asakir, Tarikh Damishq Al-Kabir, 45/157, 158,
4-Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-il-‘Ashrah, 03/127,
5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/157, Raqam-36485,
6-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah, /211.]