Hadith Number : 35
“Sa’iyd Bin Wahb Aur Zayd Bin Yathi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Khule Maidaan Me Logo’n Ko Qasam Dee Ki Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Kuchh Farmate Hu’e Suna Ho Khada Ho Jaa’e. Raawi Kahte Hain : Chhe -06 (Aadami) Sa’iyd Kee Taraf Aur Chhe-06 Zayd Kee Taraf Se Khade Hu’e Aur Unhone Gawaahi Dee Ki Unhone Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ke Haque Me Yeh Farmate Hu’e Suna : “Kya Allah Mominin Ki Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hai?” Logo’n Ne Kaha : Kyoo’n Nahin! Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Aye Allah! Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Too Use Dost Rakkh Jo Ise Dost Rakkhe Aur Too Us Se Adaawat Rakkh Aur Is Se Adaawat Rakkhe.”
–
[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/118,
2-Khasa’is Amir Al-Mu’minin ‘Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/90, 100, Raqam-84, 95,
3-Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/67, Raqam-12140,
4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/69, 134, Raqam-2130, 2275,
5-Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/65,
6-Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah Aw Al-Mustakhraj Mina Al-Ahadith Al-Mukhtarah, 02/105, 106, Raqam-480,
7-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/26,
8-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/160,
9-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/107, 108,
10-Hisam-ud-Deen Hindi, Kanz-ul-Umaal, 13/157, Raqam-36/485,
Nasa’i Kee Bayan Karda Dono’n Riwayat Kee Isnaad Sahih Hai.
Haythami Ne Tabarani Kee Sanad Ko Hasan Qaraar Diya Hai.]