Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 37

Hadith Number : 37

“‘Amar Bin Dhi Murr, Sa’iyd Bin Wahb Aur Zayd Bin Yathi’ Se Riwayat Hai Ki Hum Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Yeh Kahte Hu’e Suna Ki Mein Har Us Aadami Se Halfan Puchhta Hoo’n Jis Ne Ghadir Khum Ke Din Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna Ho, Is Par Terah¹³ Aadami Khade Hu’e Aur Unhone Gawaahi Dee Ki Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Kya Mein Mominin Kee Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” Sab Ne Jawab Diya : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Raawi Kahta Hai : Tab Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakda Aur Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Jo Is (‘Ali) Se Muhabbat Kare Too Us Se Muhabbat Kar, Jo Is (‘Ali) Se Bughz Rakkhe Too Us Se Bughz Rakkh, Jo Is (‘Ali) Kee Nusrat Kare Too Us Kee Nusrat Farma Aur Jo Ise Ruswa (Karne Kee Koshish) Kare Too Use Ruswa Kar.”

[1-Haythami Ne “Majma’-uz-Zawa’id (09/104, 405)” Me Ise Bazzar Se Riwayat Kiya Hai Aur Is Ke Rijaal Ko Sahih Qaraar Diya Hai, Siwaaye Fitr Bin Khalifah Ke Aur Woh Thiqah Hai.

2-Bazzar Fi Al-Musnad, 03/35, Raqam-786,

3-Tahawi Fi Mushkil-il-Athar, 02/308,

4-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/159, 160,

5-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/158, Raqam-36487,

6-Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/169, 05/462.]