Posted in Al-Sayf-ul-Jali ‎‘Ala‎ Munkiri Wilayati ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

Al-Sayf-ul-Jali ‘Ala Munkiri Wilayati ‘Ali ‎RadiyAllahu ‘Anhu : 38

Hadith Number : 38

“Zadhan Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai, Aap Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Majlis Me Logo’n Se Halfan Yeh Puchhte Hu’e Suna : Kis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Kuchh Farmate Hu’e Suna Hai? Is Par Terah¹³ Aadami Khade Hu’e Aur Unhone Tasdiq Kee Ki Unhone Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla Hai.”

[1-Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/84,

2-Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 02/585, Raqam-991,

3-Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah,/604, Raqam-1371,

4-Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/69, Raqam-2131,

5-Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/131,

6-Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 05/26,

7-Ibn Jawzi Fi Sifat-us-Safwah, 01/313,

8-Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 09/107,

9-Ibn Kathir Ne Al-Bidayah Wa An-Nihayah (04/169)” Me Zadhan Abi ‘Umar Se Naqal Kardah Riwayat Me Khade Ho Kar Gwaahi Dene Waale Aadmiyo’n Kee Ta’daad Baarah¹² Likhi Hai.

10-Ibn Kathir Ne Al-Bidayah Wa An-Nihayah (05/462)” Me Ibn ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Zadhan Kee Lee Hu’i Riwayat Me Gawaahi Dene Waale Afraad Kee Ta’dad Terah¹³ Likhi Hai.

11-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/158, Raqam-36487,

12-Shawkani Fi Darr-us-Sahabah Fi Manaqib-il-Qarabah Wa’s-Sahabah,/211.]