Hadith Number : 39
“‘Abd-ur-Rahman Bin Abi Laylah Se Riwayat Hai Ki Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Logo’n Se Khitaab Kiya Aur Farmaya : Mein Us Aadami Ko Allah Aur Islam Kee Qasam Deta Hoo’n, Jis Ne Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Ghadir Khum Ke Din Mera Haath Pakde Hu’e Yeh Farmate Hu’e Suna Ho : “Aye Musalmanon! Kya Mein Tumhari Jaano’n Se Qarib Tar Nahin Hoo’n?” Sab Ne Jawab Diya : Kyoo’n Nahin, Ya RasoolAllah ﷺ! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : “Jis Ka Mein Mawla Hoo’n, Us Ka ‘Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakkhe Too Use Dost Rakkh, Jo Is (‘Ali) Se Adaawat Rakkhe Too Us Se Adaawat Rakkh, Jo Is (‘Ali) Kee Madad Kare Too Us Kee Madad Farma, Jo Is Kee Ruswaayi Chaahe Too Use Ruswa Kar?” Is Par Terah¹³ Se Zaa’id Afraad Ne Khade Ho Kar Gawaahi Dee Aur Jin Logo’n Ne Yeh Baatein Chhupaayi Woh Duniya Me Andhe Ho Kar Ya Bars (Safed Kodh, Leprosy) Kee Haalat Me Mar Ga’e.”
–
[1-Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/131, Raqam-36417,
2-Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn ‘Asakir), 45/158,
3-Ibn Athir Kee “Usd-ul-Ghabah (03/487)” Me Aboo Is’haq Se Lee Ga’i Riwayat Me Hai : Yazid Bin Wadi’ah Aur ‘Abd-ur-Rahman Bin Mudlij Gawaahi Chhupaane Ke Sabab Bimaari Me Mubtala Hu’e.]